*NIKAH KI IJAZAT LETE WAQT GAWAH KA HONA ZAROORI NAHI*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1192⭕
nikah ke liye ladki ki ijazat lete waqt gawah kise hone chahiye?
Mahram ke gair mahram?
Ladke wale bolte hai.ek gawah hamara rahega, aisi surat me be pardagi hoti hai wahaan ladkiyo ka badaa majmaa hota hai to aisi surat me kya karna chahiye?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Pehli baat to Dulhan se ijazat lete waqt gawah ka hona hi zaroori nahin,
haan behtar zarur hai.
Gawah majlise nikah jahaan ho raha hai wahaan ladki ka wali ya wakeel hona zaruri hai.(bahot se ulamaa bhi is masle se shayad na waqif hain isliye gawah ko puchhte hain ke aap ne ijazat suni?) fir bhi gawah aehtiyatan banane hi ho to ladki ke mahram ko gawah banaya jaye aur ijazat ke liye ladki ko darwaze par bula liya jaye gawah andar aurton ke majme me na jaye taake be pardagi aur bad nigahi na ho.
و الله اعلم بالصواب
📕MASAILE NIKAH WA AHKAME TALAQ SAFA 56 SE MAKHOOZ BAHAWA
📗SHAMI 2/446
✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi
🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India
📲💻www. aajkasawal.Page.tl
No comments:
Post a Comment