*EK SHAREEK (PARTNER) KA MEHNAT NA KARNA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1194⭕
Ek shareek zaid ne 150000 ek lakh pachas hazar nikale aur dusre shareek bakar ne ek lakh nikale aur dono ne tay kiya ke fulan tijarat karenge aur nafa aur nuqsan dono ka aadha aadha lekin zaid ne kahaa me mehnat bilkul nahi karunga to bagair mehnat ke nafa lena jaiz hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Shirkat (partnership) ki is surat me zaid shareek ka bagair mehnat ke nafa lena bhi jaiz hai ise sleeping partner kehte hai.
📗FATAWA DARUL ULOOM DEWBAND 13/46. SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi
🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India
📲💻www. aajkasawal.Page.tl
No comments:
Post a Comment