*AURTON KA GHAR SE BAAHAR KAAM KARNE JANA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1211⭕
Mere shohar (husband) kai saalon se be rozgar hai, government se unka jo pension aata hai usse ghar ka guzara (kharch) pura nahi hota, kam padta hai, aur hamare ghar me mere alawah meri 3 betiyan aur ek bahu hai, isiliye ham agar ghar par silayi kaam kare to bhi aamdani hoti hai aur agar ghar ke paas factory hain jahaan sab aurten silayi kaam karti hain Wahaan jayen to bhi kar sakti hai, aur wahan jane se kuchh ziyadah milega.
magar mere shohar kahte hai ke ye jaaiz nahi hain.
Aap se guzarish hai ke aap batlayen kya yeh jaaiz hai ya nahi ?
Kyun ke is waqt ham 2 lakh rupiye ke maqrooz hai woh Kahaan se ada ho ?
kuchh samjh me nahi aata.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Aurton ko Qur'an me baari taala ne hukm diya hai
*و قرن فی بیوتکن*
"Apne gharon me raho"
Nabi e kareem salallahu alayhi wasallam ne farmaya "Aurat jab ghar se nikalti hai to shaitan use taak leta hai "
ya'ani logon ki nigah me sajaata hai aur is tarah usko musalman me burayi felane ka zariyah banata hai .
Sahih ibne khuzaimah me yeh bhi hai, "Aurat apne rab se ziyadah qareeb us waqt hoti hai jab woh apne ghar ke bich chhupi rehti hai"
📗(Maariful quraan 7/215,216)
Auraton ka gharon se nikalna fitne ka sabab hai isee liye aurton ko kisi bhi namaz ke waste masjid jane ki ijazat nahi di gayi halana ke masjid me jamaat ki namaz ki shareeat me badi taakid aayi hai lekin fuqhaa-masail ke mahireen ulamaa ne aurton ko is se mana farmaya hai.
isliye aap na khud jayen aur na apni bahu betiyon ko factory par jane ki ijazat den.
Hukumat jo deti hai aur ghar reh kar silayi kaam se jo aamdani hoti hai usee se kifayat shiaari-karkasar ke saath waqt guzare.
Allah ki na farmani kar ke ziyadah lalach na kare.
Apni zarurat ko kuchh mahdood farmayen aur qarz ki adayagi ke liye Allah ta'ala se dua karti rahen woh asbab banane wali zaat hai
Har namaz ke baad 7 martaba is duaa ka ehtamam kare" الھم اکفنی بحلالک ان حرامک و اغننی بفضلک عن من سواک"
ALLAH HUMMA IKFINEE BIHALAALIK AN HARAAMIL WA AGNINEE BIFAZLIK AM MAN SIWAAK
hadees me aata hai ke Agar pahad ke barabar bi qarzah hoga to insha Allah adaa ho jayega.
📗MAHMOODUL FATAWA 5/672
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment