*11 GYARAHVIH KI NIYAZ*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1229⭕
11/giyarahvi ki niyaaz khane ki haqiqat kya hai ?
Kya maaldar aadmi giyarahvi ka khana kha sakta hai ?
Aur garibo ka us daawat me shirkat ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Kisi bhi islami mahine ki giyarahvi (11) Tarikh ko Mahbube subhani peerane peer Haz. shaikh Abdul Qaadir jeelani rh. ki niyyat se jo khana pakaya jaata hai use giyarahvi kehte hain.
📗Ikhtilaf e ummat or sirate mustaqeem.hazrat mufti yusuf ludhyani shaheed ra.ki kitab
Agar woh khana hazrat shaikh rh. ke naam ki mannat ka ho to woh haraam hai aur unke naam ki mannat manna shirk hai, mannat sirf Allah ke naam ki hee manna jaiz hai.
Kisi unche se unche buland rutbah makhlooq ke naam ki mannat manna haraam aur shirk hai aur aisi haraam mannat ka khana khana Maaldar aur garib kisi ke liye bhi jaiz nahi.
📘(Shami: 2/128,bahr: 2/298)
Agar hazrat shaikh jeelani rh. ke isaale sawab ki garz se Allah ta'ala ke naam ki mannat maani ho ya mannat maane bager hazrat shaikh ke isale sawab ke khatir pakaa kar khilaye to aisa khana garib log kha sakte hain, maaldar nahin kha sakta, kyun ke mannat ka khana Maaldar ke liye jaiz nahin aur garibon ko khila kar sadaqah ka isale sawab kar sakte hain,
Albatta isaale sawab ke khane ke liye koi tarikh aur din zaruri samajhna Yeh bidat aur na-jaiz hai.
📗Shaami: 1 fatawa mahmudiyah: 10 /98
📗Zubdatul fatawa Gujarati: 1/206,207
By fatawa section
✏MUFTI SIRAAJ CHIKHLI NAWSARI GUJRAT
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment