*waqt par qurbani na karna*
🔴sawal no 1121🔴
1⃣ Agar waqt per qurbani na kar saka to ab kya hukm he??
2⃣ Qurbani waqt per na kar saka to baad me bade janwar me hissa lekar qurbani kar sakta he ??
🔵jawab🔵
1⃣ Agar waqt per qurbani na ki ja saki our janwar pehle se mawjud he to usi janwar ko zinda sadqa karna zaruri he, our agar janwar mawjud na ho to pure janwar ki qimat ka sadqa lazim he.
2⃣ Agar qurbani wajib thi our qurbani ke dino me nahi kiya to ab 1 bakre ki qimat garibo per sadqa karna zaruri he..
Yani ab bade janwat me hissa nahi le sakta balke pure janwar ki qimat deni zaruri hogi..
(Mustafad kitabul masail 2/229)
و الله اعلم بالصواب
📝Maulana Ibrahim Alyani Sahab
✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab
🕌Ustaaze daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Youtube Channel
Www.youtube.com/BayanatPost
Download Our Android App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment