Wednesday, September 20, 2017

Namaz ke makruhat (Makruh e tanzihi)

*Namaz ke makruhat*
(Makruh e tanzihi)

⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 1129⭕

Namaz me Makruh e tanzihi kaam ho jaye to kya hukm hai ?

Namaz me makruh e tanzihi kyaa kyaa hai ?

🔵JAWAB🔵

Makruh woh chiz hai jisse namaaz to nahin tutti lekin sawaab kam ho jaata hai aur gunaah hota hai,
makruh e tazihee woh na munasib kaam hai jis se bachna behtar hai, us namaz ko waqt ke andar aur waqt ke baad loutana mustahab hai.

Namaz ke makruh e tanzihi hasbe zail hai.👇

(1) mamuli kapdo me jinhe pahan kar majma me jaana pasand nahin kiyaa jaata, namaaz padhna.

(2) munh me rupyah ya paisa ya aur koi chiz rakh kar namaaz padhna. jis ki wajah se qiraat karne se majbur na rahe, aur agar qiraat se majburi ho jaae to bilukul namaaz na hogi.

(3) susti aur be parwaahi ki wajah se nange sar namaaz padhna.

(4) haath ya sar ke ishaare se salaam ka jawaab dena.

(5) binaa majburi chaar zaanu ya alti palti (palaati) maar kar baithna.

(6) iraadah kar ke jamaaee (bagaasah) lena ya rok sakne ki haalat me na rokna.

(7) aankho ko bandh karna, lekin agar namaaz me dil lag ne ke liye bandh kare to makruh nahin.

(8) imam ka mehraab ke andar khada hona, lekin agar qadam mehraab se baahar ho to makruh nahin, akele imam ka aek haath unchi jagah par khada hona aur agar uske saath kuchh muqtadi bhi ho to makruh nahin.

(9) aayate ya surte ya tasbih ungliyo par ginna.

(10) namaaz me angraaee lena ya'ani susti utaarna.

(11) imaamah ke pech-nok par sajadah karna.

(12) jis jagah yeh dar ho ke koi namaaz me hansaa degaa, khayaal hat jaaega to namaaz me bhul chuk ho jaaegi, aisi jagah namaaz padhna.

(13) jab bahut bhuk lagi ho aur khaana tayyaar ho to pehle khaale tab namaaz padhe. Bagair khaana khaae namaaz padhna makruh hai. Haan! Agar waqt tang hone lage to pehle namaaz padh le.

(14) sunnate ke khilaaf namaaz me koee kaam karna.

(15) dusri rakat ko pehli rakat se ziyaadah lambi karna.

(16) kisi namaaz me koee surat muqarrar kar lena ke hameshah woh padhaa kare, koee aur surat kabhi na padhe.

(17) Khule sar namaz padhna agar susti ki wajah se hai to makruh e tanzihi hai. Agar takabbur Ya fashion ki wajah se hai jaise ke aajkal navjawano ki aafat hai ke topi hote huve bhi jeb (pocket) Me rakh lete hai ye tareeqah qabile mazammat hai Huzoor SALALLAHU ALAYHE WASALLAM ne aam haalat me aksar sar dhank kar hi namaz padhi hai.

📘Taleemul .islaam-4/47 se 49,
bahishti zewar-2/99 se 102
aur kitabul masail 1/366 se 375 se maakhuz

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subcaribe Our YouTube Channel
Www.youtube.com/bayanatpost

Download Our App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...