*EK ROZAH RAKHNE AUR BAGEIR SEHRI KE ROZAH KA HUKM*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1031
⭕AASHURAH KE ROZAH KI KYA FAZILAT HAI?
⭕ROZAH KONSE DIN RAKHNA HAI?
⭕EK ROZAH RAKH SAKTE HAIN?
⭕BAGEIR SEHRI KA ROZAH RAKH SAKTE HAIN?
⭕AASHURAH KE ROZAH KE SAATH QAZAA KI NIYYAT KARNE KA KYA HUKM HAI?
🔵Jawab🔵
AASHURAH KA ROZAH RAKHNE SE GUZISHTAH EK SAAL KE SAGEERAH GUNAH MUAAF HO JAATE HAIN.
DO ROZAH NA RAKH SAKTE HO TO EK ROZAH RAKHNA BHI JAIZ HAI. LEKIN MUNASIB NAHIN HAI.
HZ. MAULANA MANZOOR NUAMANI R.A. FARMATE THE KE YAHOODIYON KI TARIKH KA TIME TABLE AB ALAG HAI LIHAAZA AB MUSHABAHAT
KHARABI MERE KHAYAAL ME BAAQI NAHIN RAHI.
EK ROZAH RAKH SAKTE HAIN LEKIN EK ROZAH RAKHNA MAKRUHE TANZIHI HAI LEKIN US EK ROZAH KA SAWAB TO MILEGA
📗FATAWA MAHMUDIYAH JILD.10 SAFAH 193 DABHEL BA HAWALA MARAQIYUL FALAH 640 WA AALAMGIRI 1/202 SE MAAKHOOZ
BAGEIR SEHRI KE AASHURAH KA AUR NAFIL ROZAH RAKH SAKTE HAIN. LEKIN SEHRI KI SUNNAT CHHUT JAYEGI.
AASHURAH KE ROZAH KE SAATH AGAR QAZAA KI NIYYAT KARE TO SIRF NAFIL ROZAH ADAA HOGA QAZAA BAAKI RAHEGI.
SUBAH SADIQ KE BA'AD ROZAH KO TODNEWALI CHEEZ PAISH NA AAYI HO TO ZAWAL SE PEHLE NIYTAT KAR SAKTE HAIN.
📗 FATAWA RAHEEMIYAH AUR KITABUL FATAAWA
Mazkoorah surat me sirf nafl ashurah ka rozah adaa hoga qaza rozah adaa na hoga lihaza koi ek hi niyyat kare.
📗fatawa darul uloom qadeem 3/40 se makhooz
Bahawala masail e rozah 164
📜Mufti imran ismail memon sahab
Ustaze Darul Uloom Rampura Surat Gujarat India
http://Www.aajkasawal.page.tl
Subcaribe Our Channel
http://Www.youtube.com/bayanatpost
Download Our App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment