*MUHARRAM ME SHAADI*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 1130⭕
Muharram me shadi kar sakte hain ?
🔵Jawab🔵
Maahe muharram shog aur maatam ka mahina qaraar dena jaiz nahin hai, haraam hai, aur muharram ke mahine me shadi wagairah ko na mubarak aur naa jaiz samjhna sakht gunah aur ahle sunnat ke aqidah ke khilaf hai, islam ne jin chizon ko halal aur jaiz qaraar diya ho aitiqadan wa amalan un ko na jaiz aur haraam samjhne me iman ka khatrah hai.
📗MASAILE SHIRK WA BIDAT SAFA 214
Bahawala
📘FATAWA RAHEEMIYAH 3/191 bahawa bukhari muslim wa mishkat shareef.
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
Www.aajkasawal.page.tl
Subcaribe Our Channel
Www.youtube.com/bayanatpost
Download our App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment