Wednesday, September 27, 2017

MUHARRAM KE MAHEENE KYA KARE KYA NAHI

*MUHARRAM KE MAHEENE KYA KARE KYA NAHI*

⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 1132

MUHARRAM KE MAHEENE ME KYA KARNA CHAHIYE KYA NAHIN?
MASHHOOR BIDATEN KYA KYA HAI?

AAJ KA JAWAB

 Muharram ke Maheene ko Maatam aur Sog ka Maheena Qarar dena Jaiz nahin, Haraam hai,  aur Muharram ke maheene me Shadi wagaira ko Na Mubarak aur NaJaiz samajhna sakht Gunah aur Ahl-e-Sunnat Wal jamat ke Aqeede ke khilaf hai, Islam ne Jin cheezon ko halal aur Jaiz qarar diya ho, aeteqadan ya amalan unko NaJaiz aur Haram samajhne me Iman ka Khatrah hai.

📔 Fatawa Raheemiya 3/191.

🔟 Muharram ko Zikr e Shahadat  ka bayan karna agarche saheeh riwayaton se ho, ya Sabeel laga kar sharbat pilana ya Chanda Sabeel sharbat me dena, ya doodh  pilana ye sab saheeh nahi hai aur Rawafiz (Shiyaon) se mushabahat (similarities) ki wajeh se Haraam hai.

📔 Fatawa Rasheediya
139

🕌 Taziya saazi ka najaiz hona aur uska Khilaafe Deen o Iman hona Azhar minash shams hai, quran e majeed me hai اتعبدون ما تنحتون 
Kya tum aisi cheezon ki ibadat karte ho jisko tumne tarasha aur banaya hai

Zaahir hai ke Taziya insaan apne hath se tarash kar banata hai aur phir Mannat maani jati hai aur usse muraaden maangi jaati hain, uske saamne aulaad o sehat ki duaen ki jati hain, Sajda kiya jata hai, uski ziyarat ko Hazrat hussain razi Allahu anhu ki ziyarat samjha jata hai,
Kya yeh sab baaten Imaan ki Rooh aur Islam ki taleem ke khilaf nahin yeh sab baaten Bid'at aur Na-Jaiz hain.

📔 Fatawa Raheemiya 2/275,
Fatawa Rasheediya 576.

 Yaum e Aashoore ke din ke Mutalliq shariyat ne khaas  Cheezen batlayi hain:

 Rozah rakhna,

 Ahel o Ayaal par khaane peene me wus'at karna.

Hadees Shareef me hai ke Jisne Yaum e aashoora ke din apne baal bachon par khaane me wus'at (kushadgi) ki to Allah Ta'ala poore saal Rozi me izafa karenge, iske ilawa us din ke liye aur koi Hukm nahin hai.

📔 Fatawa Raheemiya 2/380.
 Masail e Shirk o bid'at

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subcaribe Our Channel
Www.youtube.com/bayanatpost

Download Our App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...