*NAMAZ KI SUNNATEN*
⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 1125⭕
Namaz ki kitni sunnaten hain ?
Aur kon konsi hain ?
In sunnaton par amal karne ka kya hukm hai ?
🔵JAWAB🔵
Namaaz ki 51 sunnaten hain, yeh sunnaten chhut jaaye to namaz ka fareezah to zimme Se Utar jayega. lekin namaz me khusua Aur khuzua paida na hoga aur namaz Allah ki baargah me qubooliyat ke darajah ko nahin pahonchegi, lihaza in faidon ko hasil karne ke liye in sunnaton ka ehtamam karna zaruri samajhna chahiye. jo hasbe zail hain.👇🏻
(1) Takbire tahreemah ke waqt sidhe khade hona. sar ko past aur niche na karna.
(2) Dono pairo ke bich me chaar ungliyo ke baraabar faaslah rakhna aur pairo ki ungliya qible ki taraf rakhna.
(3) Imam ki takbire tahrimah ke waqt muqtadi ki takbire tahremah ka hona.
(4) Takbir ke waqt haatho ko kaano tak uthaana.
(5) Dono haath ki hatheli qiblah rukh rakhna.
(6) Ungliyan apni haalat par rakhna.
(7) Sidhe haath ki hatheli baayen haath par rakhna.
(8) Aakhri ungli aur anguthe se haath ka halqah banaa kar pakadna.
(9) Mardon ko naaf ke niche haath bandhna.
(10) Sanaa ya'ani "subhaanakallahumma" ka padhna.
(11) Bich ki teen ungliyon ka baayen haath ke pohcho par milaaye bagair rakhna.
(12) Aoozu billaah ka padhna.
(13) Bismillah ka padhna.
(14) Aahistah se aameen kehna.
(15) Fajr ki pehli rakaat tawil karna.
(16) Qiraat ka na jaldi, na dhire, balke darmiyaani raftaar se qiraat ka padhna.
(17) Farz namaazo ki teesri chothi rakat me surahe faatihah ka padhna.
(18) Ruku ki takbir kehna.
(19) Ruku me dono haatho se ghutno ko baraabar achchhi tarah pakadna.
(20) Pindliyon ko ruku me sidha karna.
(21) Ruku me peeth ko bichhaa dena, unchi na rahe.
(22) Ruku me sar aur surin sidhe rakhna.
(23) Ruku ki tasbih teen baar padhna.
(24) Jamaa’at ki namaaz me ruku se uthne par imaam "SamiAllaahu li man Hamidah" kahe to muqtadiyon ka "Rabbana lakal Hamd" padhna.
(25) Sajadh ki takbir ka padhna.
(Baaqi sunnaten aaindah kal aaj ka sawal number 1126 me batayi jayegi Insha'Allah)
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon sahab
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Youtube Channel
Www.youtube.com/BayanatPost
No comments:
Post a Comment