Friday, September 8, 2017

Namaz me qayaam ke baad ruku'a sujud wagerah ke wajibaat

*Namaz me qayaam ke baad ruku'a sujud wagerah ke wajibaat*

⭕Aaj ka sawal no.1124⭕

Namaz me qayaam ke baad ruku'a sujud aur baaqi arkaan ke wajibaat kya kya hain ?

Jise Jaan bujh kar chhod dene se sajda e sahv karey to bhi namaz nahin hogi.
Aur galaty se chhod dene se sajda e sahv kar len to namaz ho jayegi.

Woh batane ki guzarish.

🔵JAWAB🔵

Namaz me qayaam ke 6 wajibaat ke baad baaqi ke 13 Wajibat hai, jisko ko jaan bujh kar chhode to sajdah sahv se bhi namaz nahin hogi, albattah galaty se chhut jaane ke baad sajadah e sahv kare to namaz ho jayegi aur sajdah e sahv na kare to namaz nahin hoti woh yeh hain.

*QAYAAM KE 6 WAJIBAAT KAL SAWAL NUMBER 1123 ME BATAYE GAYE THE,*

*BAAQI KE HASBE ZAIL*
👇🏻👇🏻

(7) Qaumah ya'ani ruku se uth kar sidhe khade hona. (is taur par ke jism ki harkat bandh ho jaye)

(8) Sajdah me peshaani, naak zamin par tekna.

(9) Jalsah karna ya'ani dono sajdo ke darmiyaan "subhaanAllah" ki miqdaar me sidhe bethna.

(10) Qa’dah ulaa ya'ani teen aur chaar rakat wali namaaz me do rakat ke ba’ad Attahiyyaat padhne jitna bethna.

(11) Dono qa’ado me Attahiyyaat ka padhna.

(12) Lafze salaam padh kar namaaz ko khatm karna.

(13) Tamaam arkaan ko itminaan se achchhi tarah adaa karna (bahut jaldi na karna jaise ke qavmah aur jalse me ba'az log jaldi karte hain).

(14) Namaaz ke sabhi arkaan ko uski tartib se adaa karna, ya'ani koi arkaan aage ya pichhe na ho jaaye,

Arkaan ki adaygi me taakheer ho jaae ya koi waajib bhul se chhut jaaye to sajda e sahv ka adaa kar lena.

(15) Vitr namaaz me qunoot ke liye takbeer kehna.

(16) Du’a e qunoot padhna.

(17) Dono eid me 6 zaaid takbir padhna.

(18) Eid ki dusri rakaat me ruku ki takbir kehna.

(19) Namaaz me sajde ki aayat padhi jaaye to fauran sajdah e tilaawat ka karna.

📘MASAILE NAMAZ
📙TALEEMUL ISLAAM
📗MAALABUDD MINHU

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Youtube Channel
Www.youtube.com/BayanatPost

Download Our Android App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...