Friday, February 17, 2017

SHAIR ME QABZA KISE KEHTE HAI

*SHAIR ME QABZA KISE KEHTE HAI?*
⭕AAJ KA SAWAL NO.926 ⭕
Share bazar me
BSE Ltd. (India) me share kharidne ke third day pull DP (Broker ke A/C. me) Delivery aa jati hai.
(Yaani PIR ke Roz  kharide hue shares ki Delivery BUDH ke Roz Broker ke A/C. me
(Jise pull DP kehte hai.)jama ho jati hai.
To PIR ke Roz kharide hue  shares BUDH ke Roz bech shakte hai ya nahi?
al jawab
حامدا و مصلیا و مسلما
shair par qabza zarooree hai aur short sale me qabza shair sirf kagaz aur shartificat mil jane ka naam nahi balke compani ke karobar me baqaidah shareek hone ka nam hai qabza sirf acaunt me se paise kat jane se ya aap ke naam par shair transfar ho jane se ya shair ka bhaw;ghtne aur barhne se nahi hota hai balke samne wali compani ka apna qabza chhodna ya dusre ka qabza hatana bhi zarooree hai jese stock aexechag ki defenece me ‘buy in’ kaha jata hai wih zarooree hai aur aesa hote huwe tin din lag jate hai ye baat Rules for ready Delivery contracts ki pehli dafa me likhi hui hai.
qabza na hone ki ek daleel ye bhi hai shair bechnewali compani ko zaid ko shoart sale karne ke baad zaid hi ko woh shair bechne par msjboor nahi kar sakte woh chahe to bakr ko bhi bech sakti hai aur na bechna chahe to yun bhi keh sakti hai ke zaid tum itni qeemat ke isee compani ke shair itni hee miqdar me bazar se khareed lo bechnewale ko ye ikhtiyar bhi bata raha hai us ne qabza nahi chhoda tha.
is ko ek misal se samjho jaise aap ne us makan ko khareeda jis me rahta hun pese bhi de diye aur qabza rasheed bhi aap ke naam ki ban gai lekeen mene us ghar ka qabza chhoda nahi hai balke us me reh raha hun aap ke pure ikhtiyar me woh ghar aaya nahi hai ke jab chahe rehne aa jawo ya kisi ko rehne bhej do to ye ghar par qabza nahi huwa koi bhi qudrati aafat selab,zalzala aayega to nuqsan mera hi shumar hoga kyun ke me ne us ghar ka qabza nahi chhoda hai.aur us ko ghar ko me kisi aur ko bhi bech sakta hun kiyun aap ne qabza nahi liya hai.
lihaza mazkoorahbsurat me peer ko kharide huwe shair ko budh ko bechna jaiz nahi.
و اللہ اعلم
FATAWA USMANI jild 3 safa 178 se 186 bahas ka khulasa maa misale zaid
 
 Mufti Imran Ismail Memon.
 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...