*JANAZAH SE AAGE CHALNA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.914
JANAZEH KE AAGE CHALNA BEHTAR HAI YA PICHHE?
AAJ KA JAWAB
HAZRAT BARAA BIN AAZIB RAZIYALAHU ANHU SE RIWAAYAT HAI KE RASOOLULLAHI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE HUME JANAAZAH KE PICHHE CHALNE KA HUKM DIYA HAI [BUKHARI]
IS SE SAABIT HOTA HAI KE JANAAZAH MAT'BOOA ( IMAM KI TARAH) HAI AUR LOG TAABEA
(MUQTADEE KI TARAH) HAIN LIHAZA JANAZAH AAGE RAKHNA AUR LOGON KA PICHHE CHALNA AFZAL AUR MUSTAHAB HAI.
JANAZAH AAGE AUR SAAMNE RAHNE MAI IBRAT AUR NASEEHAT MAUT KI YAD BHI HAI.
JANAZAH KE AAGE RAHNA BHI JAAIZ HAI MAGAR BEHTAR NAHI, KANDHA DENE KE LIYE KUCH LOGUN KA JANAZAH KE AAGE /RAHNA BHI JAAIZ HAI.
SAB KA AAGE CHALNA AUR JANAZAH KO PICHHE CHHOD DENA MAKROOH HAI
(JAISE KE AAJKAKBAHUT JAGA HOB RAHA Hai)
KANDHA DENE KE LIYE LOGLAMBI QATAAR BANDHTE HAI AUR JANAZAH KO PICHHE CHHOD DETE HAI YAH GALAT TAREEQAH HAI.
JANAZEH KO KANDHA DENE KE LIYE KUCHH LOG JANAZE KE AAGE QAREEB ME HONA
(DOOR DOOR TAK NA HON) AURAKSAR LOG PICHHE HON AAGEWALE KANDHA DEKAR PICHHE HAT JAWE
(WAPAS AAGE NA JAYEN) JIS SE PICHHEWALON KO KANDHA DENE KA MAUQA AASANI SE MIL JAYE AESA TAREEQAH IKHTIYAR KIYA JAYE.
📗FATAAWA RAHIMIYAH JADEED 7/124 BA HAWALA DURRE MUKHTAR MAASH SHAMI1/834
📕ALAMGIRI 1/104
📔BAHRUR RAEEQ 1/192)
Mufti Imran Ismail Memon
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment