*SOOD PAR RAQAM RAKHNEWALI COMPANI KA SHAIR*
AAJ KA SAWAL 923
AAJ KA SAWAL 923
Join stock companies ke share khareed kar us ke dividend ko aamdani ka zareeyah banana, share ordinary hain aur companies jaiz tijarat aur banawat ka kam karti hai magar financing ke liye raqam sood par hasil karti hai to us ka kiya hukm hai?
AAJ KA JAWAB 923
is surat me share khareedna jaiz hai albattah company walon ko likh diya jaye ke sood ke len den par ham razi nahi hain aur company ke salanah ijtimaa me bhi is baat ka izhar kar diya jaye chahe fir company wale aap ki baat par amal na Karen lekeen is tara keh kar bareeuz zimmah Ho jana chahiye.
FATWA USMANI 3/191 SE MAKHOOZ
Tafseel aur hawale ke liye imdadul fatwa 3/491
Mufti Imran Ismail Memon.
Tafseel aur hawale ke liye imdadul fatwa 3/491
Mufti Imran Ismail Memon.
Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
No comments:
Post a Comment