Monday, February 6, 2017

AJINO MOTO KHANA

*AJINO MOTO KHANA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.917 ⭕

Ajino moto China salt
Khuraak me acche zaayqe ke liye istemal kiya jaata hai,
Iske haram hone ke baare me baat cheet ho chuki hai,
lekin hame iske baare me kahee se bhi koi sahee ilm nahi hai, bahot saare log isko istemal karte hai aur bahot saare istemal karne se ruk chuke hai.
Musalmano ke liye Ajino moto kp khane ki cheezon me istemal karne na karne ke baare me sahee hukm kya hai ? aur isme namak ke haram qaraar dene ki wajah kya hai? ??

🔵Jawab🔵

Jab tak ye tahqeeq na ho ke mazkoora namak koi haram napak ya murdaar shamil hai iskaa khaana durust hai,
aur Doosri khaane ki chizo wagerah me iskaa istemal bhi durust hoga, Warna nahi.

📗 Jaisa ke durre mukhtaar 6/460 par likha gaya hai

✏ahqar ne ajino moto ka packet khareeda tha, to us ke ingredient me sirf mono sodium glutamate likha huwa tha,  janne walon se puchha to bataya ke ye ek qism ka chemical hai.
ahqar ne ajino moto ko pani me dal kar pighlaya to namak ki tarah pighal gaya,
agar is me khinzir ki haddi ka powdore ya us ki charbi hoti to haddi ke mote pawdar ki khasiyat na ghulna hoti hai,  halan ke woh pani me bilkul asani se ghul gaya,
aur charbi ki khasiyat chiknahat hoti hai, woh bhi us pani me bilkul payi nahi gai,
lihaza maloom huwa ke uske andar ye cheezen nahi hai, agar maan lo ke ye cheezen andar hai to bhi un ki asli wasaf (khasiyat) badal chuki hai, lihaza ajino moto ko napak qarar dena saheeh nahi, is ka istiamal bande ki is tahqeeq se jaiz maloom hota hai.

  📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat,india

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...