JANAZAH LE JANE KA TAREEQAH NO.2
⭕AAJ KA SAWAL NO. 912⭕
janazah ko lejane ka masnoon pura tareeqah kya hai mazeed wazahat farmaiye
🔵JAWAB🔵
*Janaza Le Jane ka Masnoon Tareeqa-2*
Janaze ko tez qadam le Jana masnoon he ,magar na itni tez k Mayyat ko harkat v iztraab hone lage ,
📘Bahishti Gohar,
📘Janaze ke hamraah Pyada pa ( Paidal ) chalna mustahab he aur agar kisi sawaari per ho to Janaza ke pichhe chale ,
📘Bahishti Gohar,
📘Jo log Janaza ke hamraah ho unko janaze ke pichhe chalna mustahab he ,agarche Janaza ke aage chalna bhi jaa’iz he ,Haa’n ! Agar Janaza se aage bahut door chala jaye ya sab log janaze ke aage ho jaye to makrooh he ,
isi tarah Janaza ke aage ki sawaari per chalna bhi makrooh he ,
📘Bahishti Gohar ,
Jo log Janaza ke saath ho unhe Janaza ke Daaye ya Baaye nahi chalna chahiye,
📘Aalamgiri ,
Janaza ke hamraah Jo log ho unko koi zikr ya Dua buland awaaz se padhna makrooh he,
📘Bahishti Gohar ,
Jo log Janaza ke saath na ho balki kahi Bethe ho ,aur unka iraada Janaza ke saath Jane ka bhi na ho ,unko Janaza dekh kar khada nahi hona chahiye,
📘Bahishti Gohar,
📘Ahkaam e Mayyat,
Safa no. 58
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat,india
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment