Thursday, February 2, 2017

JANAZAH JO KANDHA DETE WAQT KIYA PADHE?

*JANAZAH JO KANDHA DETE WAQT KIYA PADHE?*

AAJ KA SAWAL NO.913

JANAZEH KO KANDH DETE WAQT KIYA PARHNA CHAHIYE?

🔵AAJ KA JAWAAB🔵

JANAZAH KE  SAATH JAHRAN  KALIMA  TAYYAB  PARHNA  BIDAT  HAI.

📕 [ AHSANUL FATAWA 1/338 ]
📗[ FATAWA MAHMOODIYAH 2/401]
[ ALAMGEERI 1/104 ]

🔷JANAAZAH  KE  SAATH  AHISTA  ZIKR  KI  IJAAZAT  HAI,,ZOR  SE  PARHNE  KI  IJAAZAT  NAHI  MAKROOH  HAI,IS NE RIYAKARI KA BHI ANDESHA HAI
JANAZAH  KE  SATH  DIL  DIL  MAI  ALLAH  KA  ZIKR  KIYA  JAYE  JAHRAN-ZOR SE { LOUDLY} ZIKR  KARNA  MAKROOH  HAI,....CHALTE  CHALTE  TANHA  TANHA  ZIKR  KARNE  MAI  HARAJ  NAHI.

📘FATAWA  RAHEEMIYA 6/194
📙SHAMEE 1/838,
📔BAHRRURAIQ 2/192

🔶JANAZAH  KO  KHAMOSHI  KE  SAATH  LE  JAANE  KA  HUKM  HAI  HADEES  MAI  HAI  KE  JANAZA  LE JAATE  WAQT  KHAMOSHI  IKHTIYAAR  KARNA   ALLAAH  KO  PASANDEEDAH  HAI.

📒FATAWA  RAHEEMIYA 8/185

JANAZAH  KE  SATH  CHALNE  WALO  KO  KHAMOSH  RAHNA  LAAZIM  HAI, AUR  BULAND  AAWAZ  SE  ZIKR  KARNA  YAA QURAAN  KI  TILAAWAT  KARNA  MAKROOH  HAI  AUR  AGAR  KOI  SHAKHS  ZIKR  KARNA  CHAHE  TO  DIL  MAI  ZIKR  KARE.

📓 SHARHE TAHAWEE1/162

🔹FUQAHA NE  JANAZAH  KE  SAATH ZOR  SE  ZIKR  KARNE  KO  MAKROOH  TAHREEMI  QARAAR  DIYA  HAI
AL BAHRURRAAIQ  MAI HAI KE  JANAZAH  KE  SAATH  CHALNE  WALO KE  LIYE  MUNAASIB  HAI  TAWEEL  KHAMOSHI  IKHTIYAAR  KARE  ZIKRA, QIRAATE  QURAAN WAGHAIRAH  KARTE HUWE  AAWAZ  BULAND  KARNA MAKROOH  HAI  AUR  MAKKROOH  SE  MURAAD  MAKROOHE  TAHREEMI  HAI

📚KITAABUL FATAWA 3/188
DEKHA DEKHI KALAMAH A SHAHADAT LAA ILAAH ILLALAAH ZOR SE KEHNA BANDH KARNA CHAHIYE.

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...