*Hazrat aishah RD.se chhoti umar me nikah karne ki wajha*
⭕AAJ KA SAWAL NO.920⭕
Gairon ki taraf se ye aetraz kiya jata hai ke Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne hazrat Aisha RADEEYALLAHA se jin ki umr sirf 6 saal thi jo bety ki umr hai un se is umr me nikah kyun kiya?
🔵JAWAB🔵
Nikah 6 saal ki umr me huwa tha lekin rukhsati-widaagiree 9 saal ki umr (garm mulkon ki balig-pakki umrwali hone ki umr) me hui thi arab me badi umr wale ka chhoti umr wale se nikah karna aam tha koi tajjub ki cheez nahi tha isliye kuffar aur yahodiyon ne Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM par bahot Se e'atiraz-ishkal kiye lekin ye eatiraz Kisi ne nahi kiya Aur nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ko (Allah ki panah) bure alqab jaise jadugar, diwana wagairah kaha lekin aajkal Ke kafiron ne jin laqab Ka isteamal kiya woh kisi ne nahi kiya agar ye us samaj me ye bura hota to zaroor un alfaz ka istiamal karte kiyun ke us waqt ke kafir koi mavqah huzoor salallahu alayhe wasallam ko badnam karne ka hath se jane nahi deta the.
Hazrat aishaa islam ke dusre khalifa:badshah Hazrat abu bakr (radeeallahu anhu) ki beti thi.
is kam umr ki shadi ki asal wajah nubuwwat aur khilafat ke darmiyan talluq ki mazbuti thi,kyun ke Nabi Karim SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke baad khilafat ka silsila ALLAH ko Hazat Abu Bakr RADEEYALLAHU ANHU se chalana tha khilafat ko nabi ke ghar se bhi jorna maqsood tha.
Arab ki garam (hot) aabo hawa Insani badan ke badhane -development mein Important-khaas role adda karti hai aur doosri baat yeh keh jis tarah ALLAH Taala kuch loogon ko height body umar aur brain power ability dosray logon se badh kar deta hai.
ALLAH to buhat bara hai agar woh kisi baat ka hukm de yani chhoti umr Ki ladki Se badi umr ki ladki Ka kaam lena chahe to woh ho jata hai.
Aur islam me qaidah hai ke bachpan me maabap nikah kara de to ladki ke balig hone ke baad use ye ikhtiyar:chhut hoti hai ke chahe to woh nikah ko baqi rakhe chahe to tod de ye widaygiri Hazrat aishaa radiyallahu anhu ki ijazat aur khushi se hui thi,aur puri zindagi apne is nikah par fakhr:gawr karti thi.aur us waqt musalman ki 9 saal ki har ladki aur us ke maabap huzoor salallahu alayhi wasallam ke sath nikah me dene ke liye betab the ye us zamane zarra barabar aeb:buri cheez na thi
lekin ye sachchai woh log nahi mante jin ke dilon per muhar-shil laga diya gaya hai.Allah taala Quran main irshad farmate hain ke
‘’Allah ne in (kuffar) ke dilon aur un ke kanoo per mohar laga de hai aur un ki ankhon per pardah pad gaya hai (isliye un ki samjh me nahi aata) woh sakht azaab k mustahiq hain.
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment