🙏🏼NAMASTE KEHNA YA HATH JODNA🙏🏼
⭕AAJ KA SAWAL NO927⭕
A.Gair muslimo ki tarah hath Jodna kesa hai?
B.Un ko namaste keh sakte hai?
C.Hath Jod kar muaafi mang sakte hai?
D.Mobile me muaafi ke liye ye 🙏🏻 ye logo istimal.kar sakte hai?
E.school me prathna me bachche hath jod sakte hai?
🔵JAWAB🔵
A.Kisi zaroorat aur talluqat Kee wajha se mulaqat karna- musafaha karna durust-saheeh hai,
📕FATAWA MAHMOODIYAH 19/115 DABHEL
Lekeen un ki hath jod kar mulaqat karna jaiz nahi.
📗RAWZATUL FATAWA SAFA 80 JILD 1 SE MAKHOOZ HAZRAT MUFTI ISMAIL WADIWALA SURTI RAHMATULLAHI ALAYHI KI
B.👉🏼Musalman ke liye jaiz nahi ke woh gair muslim ko un ke tareeqah ke mutabiq namaste ya namaskaar kare.
Islam ne mulaqat aur salaam ke waqt jo behtareen tareeqah bataya hai usee ke mutabiq amal karna chahiye
📘FATAWA DEENIYYAH URDU 5/113
GUJRATI 4/289
BA HAWALA SHAMI HISSA 5
HAZRAT MUFTI ISMAIL KACHHOLVI DAMAT BARKATUHUM
RANDER SURAT KI
C.👉🏼Hath jodkar muaafee maangna gair qaumon ka tareeqah hai ye tareeqah islam me sabit nahi isliye musalmano ko aesa na karna chahiye.
📥DARUL IFTA DEWBAND ANSAR NO. 7217
FATWA NO. 1382=1616
D. Ye🙏🏼 logo bhi istiamal na kare, isharah bhi bolne aur karne ke qaim muqaam hai.
E.gair muslim school me prathna me hath jodaye jate hai isliye apne bachchon ko ye taleem dena zarooree hai ke woh hath na jode balke duaa ki tarah hath uthaye aur prathna ke kalimat na kahe balke us waqt alhamdu shareef padhe ya allah se apni zuban me duaa kare
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment