*HAIZ ME SUHBAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.928 ⭕
*HAALAT E HAIZ ME SOHBAT*
Agar haiz ki haalat me bivi se sohbat kar li to is ka kya kaffarah hai?
JAWAB
Sohbat karne wala janta hai ke aisa karna haraam hai to ye gunah e kabeerah hai (ek kabeerah gunah jahannam le jane ke liye kaafi hai agar usse tauba na kare) aisa shakhs sakht gunehgar hoga us par tauba istigfar ke siwa kuchh kaffarah nahi.
(UMDATUL FIQAH 297)
Aur mustahab hai ke ek dinar ya aadha deenar sadqah de ya'ani haiz ke shurooaat me kiya hai ke khun laal tha to ek deenar aur aakhir me kiya hai ke khun zard:pila tha to aadha deenar de. aur ye sadqah ka hukm mard ke liye hai aurat ke liye nahi.
NOTE:- Deenar sone (gold) ka hota hai jis ki miqdar 4 gram 74 mili garam hai lihaza nisf deenar 2.187 gram huwe.
HADYAH E KHAWATEEN SAFA 45
FATAWA QASMIYAH 23/48 BA HAWALA SURAH E BAQARAH 5/223
Mufti Imran Ismail Memon.
Mufti Imran Ismail Memon.
Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
No comments:
Post a Comment