Sunday, February 19, 2017

GAIR MUSLIM KO SALAM KARNA YA USKE SALAM KA JAWAB DENE KA HUKM

*GAIR MUSLIM KO SALAM KARNA YA USKE SALAM KA JAWAB DENE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.928⭕

gair muslim ko salam kar sakte hai ya nahi?

Agar koi gair musalman kisi musalman ko salam karey to jawab dena chahiye ya nahi ?
Aur agar salam karna ho ya jawab den to kya kahe ?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

1. Salam ke woh alfaaz jo hum musalman ek dusre ko kehte hai yaane *Assalamu Alaykum Warahmatullahi Wabarakatuh* yeh haqeeqat me saamne wale ke liye Allah Ta'ala se salamati wa rahmat ki duaa hai, jiska haqdar sirf musalman hai, Gair-Muslim nahi.

Isliye Gair muslim ke liye pyar wa izzat wale kisi dusre munasib alfaaz ka istemal karna chahiye,
Jaise Aadab, Good Morning, hi,kese ho? wagerah.....

Yaad rakhe ke, Gair muslim ko Salam karne me apni or se pahel nahi karni chahiye, kyun ke hadis me isse manaa kiya gaya hai,

HADIS:
Aap salllallahu alayhi wasallam ne farmaya : Yahudiyon aur Isaaiyon ko salaam me pahal na karo.

📗Tirmizee 2700

2. Aur agar koi gair muslim khud salaam karey to uske jawab me sirf *wa alaykum* kehna chahiye, ya fir *Hadakllah* ke Allah tujhe hidayat de, kehna chahiye.

HADIS:
Aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya : Jab tumhe ahle kitaab yaane yahoodi wa isaai (kafir log) salam karey to sirf *wa alaikum* kaho.

📗Bukhari Sharif 2/529 H6929

3. Fir agar kabhi kisi kafir ko salam karna hi pad jaye to *Assalaamu alaa manittaba'al huda*  kehna chahiye,

Aap sallallahu alayhi wasallam ke khootut (letters,khat) jo aap ne Gair Muslim badshahon ke naam likhe the unse iska suboot milta hai,

aap sallallahu alayhi wasallam ne Room ke badshah Hirkal ko khat likha jiska tarjuma ye hai ke, Allah ke naam se shuru jo bahot Maharban aur Raham Wala hai, Allah ke bande aur Uske rasul Muhammad ki taraf se ye khat Room ke badshah ke liye hai, Assalamu ala manittaba'al huda, ke salamati ho us par jo hidayat yaane sidhe raste ki pairwi kare.

📗Bukhari Sharif 7

4. Aur agar kahin musalman wa Gair Muslim ikatthe bethe ho to puraa salaam kare, aur muraad sirf musalmano ko le,

HADIS :
Hazrat Usama bin Zaid radiAllahu anhu farmate hai ke, Aap sallallahu alayhi wasallam ek aisi majlis ke paas se guzre jisme musalman aur gair musalman dono the, to aap ne unhe salama kiya.

📗Tirmizee 2702

📚Fatawa shaami 5/292
📚Kitabul fatawa 6/119

📝Hz. Mufti Mamoor Badar Mazahiri, Qasmi (Azam puri) sahab.

📲http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...