*HARAAM CHARBIWALA SABUN & CREAM*
⭕Aaj kaa sawal number 922⭕
Khinzeer yaa kisee haraam jaanwar ki charbee se banaye huwe saabun aor creem ki tijarat aor uske istemaal kaa kha hukm hai?
Agar naa jaaiz hai to aaj tak ki aamdani kaa kyaa kiyaa jaay?
Aor us aamdani se zakaat khairaat adaa kee aor haj bhi kiyaa to iskaa kyaa hukm hai?
🔵Jawab🔵
Khinzeer kee charbee yaa kisee naapaak charbee se banaaye huwe saabun aor creem ki tijarat to bilaa karaahat o bilaa ikhtilaaf jaaiz hai
Aor
Istemaal bhi muftaa bih qaol ke mutabiq jaaiz hai
Lekin
Ye jawaz kaa hukm uswaqt hogaa jab uskee haqeeqat badal gayee ho
Jabtak haqeeqat nahi badli hogee uswaqt tak charbee naapaak hi samjhee jaaygi aor uska istemaal aor tijaarat naa jaaiz o haraam hogee
Is masale me IMAM ABU YUSUF rahmatullahialyh kaa ikhtilaaf hai isliye jab yaqeen ho ke is saabun me khinzeer kee charbee yaa naapaak charbee bhi padee huwee hai to iski istemaal se bachnaa hi awlaa aor behter hogaa isee me taqwaa hai
Albatta makrooh aor naa jaaiz nahi hogaa
📗Durre mukhtaar shaami 2/291
Is saabun aor creem kee tijaarat jab jaaiz hogee to usse haasil hone waali aamdani bhi halaal hogee
Aor usse haj o zakaat o khairaat sab jaaiz hogaa
📗NIZAMUL FATAWA 3/94
No comments:
Post a Comment