Thursday, February 23, 2017

HAIZ KI HALAT ME SHAHWAT PURI KARNE KI SURAT

*HAIZ KI HALAT ME SHAHWAT PURI KARNE KI SURAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.930 ⭕
Bivi Haiz :m.c.ya nifas (bachcha paida hone ke bad aanewala khun) ki halat me ho aur shawat ka bahut galba ho to use kaise pura kiya jaye? us halat me shahwat ki kiya kiya cheezen jaiz hai? bivi ke hath se mani nikalwa sakte hai ya nahi?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Haiz wa nifas ki halat me bivi ki naaf se lekar ghutno ke alawah ke badan se faidah utha sakte hai aur ragad kar mani bhi kharij ki ja sakti hai lekin naaf se lekar gutnon tak ke hisse se kapda darmiyan kiye bagair faidah uthana jaiz nahi.
agar shahwat ka itna galba ho ke gunah me mubtala hone ka andesha ho to bivi ke hath se mani nikalwana jaiz hai.
bivi razamand na ho to Shahwat todne ke liye lagatar roze rakhen
KITABUN NAWAZIL 8/554,555 SE MAKHOOZ
FATAWA BINORIA KARANCHI FATWA NO.12540 BA HAWALA SHAMI 2/299
 
و اللہ اعلم
 Mufti Imran Ismail Memon.
 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...