Sunday, February 5, 2017

MAIYYAT KE GHARWALON KI DAWAT KHANA

MAIYYAT KE GHARWALON KI DAWAT KHANA
Aaj ka sawal no.916

maiyyit ke gharwalon ki taraf se dafan ke baad khane ki dawat hoti hai us ka khana kaisa hai?

jawab no.916

shadi ki tarah is mavqa par rishtedaron ,doston wagairah jama hona hota hai yah khana kai wajha se na jaiz aur bidaat hai.
1.yah haqeeqat me hinduon ki rasm hai bas us me hinduon ki mushabahat hai.( jo haram hai)
2.shareeat me gami ke mavqa par dawat sabit nahi.
3.is dawat ko zaroori samjha jata hai aur gair zarooree chiz ko zarooree samjhna na jaiz haj.
4.da'wat me jo paise kharch hote hain us me aamtaur par na baleeg yateemon ka bhi hissa hota hai aur na baleeg ka maal sadqah aur khairat me  dena kisi soorat me jaiz nahi.( un ki ijazat bhi moatabar nahi)
5.is dawat ka maqsad isale sawab nahi hota balke dikhlawa karna hota hai ya logon ke ta'ne ke dar se dawat ki jati hai jo ke shirke asgar -chhota shirk hai.lihaza is se bachna lazeem aur zarooree hai.
( ahsanul fatawa 1/355 imdadul ahkam 1/115)
Kal 11 mi niyaz baaz jaga honewali hai us me bhi ye kharabiyan bhi paai jati hai lihaza woh bhi jaiz nahi.
allah taala jawab denewalo aur aage bhejne walon ko aur padhne ko har qism ke bidaat aur rusumat se bachne ki taufeeq ata farmaye. Ameen
www.deeneemalumat.net

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...