Friday, February 24, 2017

JUMA MUBARAK KA HUKM

* JUMA MUBARAK KA HUKM *
⭕ AAJ KA SAWAL NO.931 ⭕
Jumaa Mubarak kehna kaisa hai?
 JAWAB 
Jumaa ka din ba barkat hai us barkat ke izhar ke liye ya bataure duaa musalmano ka baham ek dusre o juma mubarak kehna ya is (ka sms bhejna) fee nafsihee- bazahir jaiz to hai magar mustaqil- khastaur par jumaa din ka sharee juzv-hissa aur rasm banalene ki galti na ho jaye (an to whatsapp par baz logon ne rasam bana Lee hai) isliye baaz ahle ilm ne mana kiya hai.
faqt wallahu aalam
(darul ifta jamiaa uloomi islamiyah binnoree tawun karanchi ka fatwa tasheel-alfaz ko asan karne ke sath)
*Usool (1)*
kisi  kaam ke bare me sunnat aur bidat hone me shak ho to us se bhi chhod dena behtar hai to jis kaam ke bare me bidat aur mubah-jaiz hone me shak ho aur rasm ban jane ka khatra ho us ko to ba tareeqe awlaa chhod dena chahiye.
*Usool (2)*
Balke jis kaam me nafa ho lekeen nuqsan ka bhi khatra ho to shareeat ne nafa hasil karne ke muqabale me nuqsanse se bachne ko behtar kaha hai (rasmul mufti)
Ye do usool ikhtiyar kar liye jaye to tamam aese kam Jis ke bidat aur jaiz hone me ikhtilaf hai ummat ko un shakwale kamo se najat mil jaye.
baaz mamalik me jumaa ka din pata nahi chalta to us kee yad dihani ke liye jumaa mubarak kehte hai un ko bhi chahiye yaad dihani ke liye juma mubarak kehne ke bajaye jumaa ki kisi sunnat ki dawat di jaye to ye maqsad bhi hasil ho jayega. masalan aaj juma hai masjid jald pahonchne ki sunat ham ada kare wagairah.
(makhooz az fatawa raheemiyah 2/187)
 Mufti Imran Ismail Memon.
 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

1 comment:

  1. जी हाँ .. जुम्मा मुबारक बोलना बिदत यानी की नया काम है लेकिन यह गलत नहीं है… जेसे की मस्जिद में मीनारे बनवाना, लाउड स्पीकर में अज़ान देना, ये सब भी नए काम यानी की बिदत हैं लेकिन गलत नहीं है..दरअसल बिदत दो तरह की होती है एक बिदत जो इस्लाम की तालीम के खिलाफ होती है एसी बिदत से गुनाह होता है . दूसरी बिदत जो इस्लाम, कुरान और हदीस ए पाक के खिलाफ नहीं है उसे करने की इजाज़त है उससे कुछ गुनाह नहीं होता….कुछ बिदत तो बहुत ज़रूरी है जैसे की कुरान ए पाक में ज़ेर और ज़बर आदि मत्राए लगाना … जुम्मा मुबारक बोलने के कई फायदे भी हैं आपस में मोहब्बत बढती है, मुबारक मेसेज के साथ कोई हदीस इ पाक या अच्छी बात शेयर की जाती है. इस पेज से हजारों खुबसूरत जुम्मा मुबारक इमेजेज डाउनलोड कर सकते हैं
    1000+ Jumma Mubarak image

    ReplyDelete

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...