Saturday, February 4, 2017

JANAZAH UTHANE KE WAQT KE TAKHEER KARNA

*JANAZAH UTHANE KE WAQT KE TAKHEER KARNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.915 ⭕

JANAZAH UTHANE KE WAQT KA AELAN KAR DIYA HO,

MASALAN SUBAH 11 BAJE.

AUR MAQAMI POORA  MAJMAA AA GAYA HO LEKEEN BAHAR KE KHAS RESHTEDAR NA AAYE HO TO UN KE INTIZAR ME TAKHEER KARNA AUR UN RISHTEDARON KA TAKHEER KARWANA KESA HAI?

🔵J A W A A B🔵

MASNOON TAREEQAH YE HAI KE MURDE KE TAJHEEZO TAKFEEN (kafan dafan) MEI JALDI KI JAAYE,  AUR DOOR SE KISI AANE WAALE  KA INTIZAAR NA KIYA JAAYE, KE ISSE LOGON KO TAKLEEF HOTI HAI,AUR YE TAREEQAH BEHTAR BHI NAHI,AUR TAKLIF PAHONCHTI HO TO JAIZ BHI NAHI

(MUQARAR WAQT KE BAAD RISHTEDARO KE INTEZAAR ME JITNE LOG PEHLE SE SHIRKAT KARNE KO AAYE HAI TAMAM KO TAKLIF HOGI,

HAR SHAKHS APNE KAROBAR AUR RAHATO AARAM CHHODKAR AAYA HAI,

UN TAMAM KO APNE MUQARRAH WAQT KE KAMO ME KHALAL WAQEA HOGA,

AUR MAIYYIT KI AAKHRI ZIYARAT KARNA AUR JANAZE ME SHIRKAT KARNA SHAR'AN ZARURI NAHI HAI.

APNE ZAATI TAMANNA AUR SAWAB KE MUQABLE ME DUSRON KO TAKLIF NA PAHONCHE IS BAAT KO MUQADDAM RAKHNA CHAHIYE)

EK TARAF HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KA HUKM HAI:

اسرعوا بھا الی قبرہ
isra'u  Bihi  ILaa Qabrihi {Mishkaat}

Janaze me Jaldi karo

(aur isme takheer na karo)

AUR

RISHTEDARO KA HUKM HAI:

"TAKHEER KARO"

AB AAP KHUD FAISLA KIJIYE KE KIS KI BAAT KO MAANNA CHAHIYE ?

KIS KI AZMAT AUR MUHABBAT AAP KE NAZDIK ZIYADA HAI ?)

(AHKAAME MAIYYAT AUR MASAILE MAIYYAT SE MAKHOOZ)

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat,india

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...