*JANAZAH KO LE JABE KA TAREEQAH*
⭕AAJ KA SAWAL NO.911 ⭕
maiyyat chhota bachcha ho ya badi miyyat to use qabrastan le jane ka masnoontareeqah kya hai?
🔵JAWAB🔵
*Janaza Le Jane Ka Masnoon Tareeqa,-1*
Agar Mayyat SherKhwar Bachche ya usse kuchh bada ho to logo ko chahiye k use Dast ba Dast le jaye, yani ek Aadmi usko apne dono haatho per uthaye ,fir usse doosra Aadmi le le ,isi tarah badalte hue le jaye ,
📘Bahishti Gohar ,
Aur agar Mayyat Badi ( Mard ya Aurat ) ho to usko kisi chaar paayi ( ya Gahwara me ) vagera per Lita kar le jaye ,Sarhana aage rakhe ,aur uske Charo paayo ko ek ek Aadmi uthaye ,Mayyat ki chaar paayi haatho se uthakar kandho per rakhna chahiye,
⇛Haatho se uthaye bager maal v asbaab ki tarah gardan per laadna makrooh he ,peeth per laadna bhi makrooh he ,isi tarah bila uzr iska kisi jaanwar ya gaadi vagera per rakh kar le Jana bhi makrooh he ,aur uzr ho to bila karahat jaa’iz he ,Maslan Qabristan bahut door ho ,
📘Bahishti Gohar ma’a hashiya ,
Janaze ko do patiyo ( lakdiyo’n ) ke darmiyan is tarah uthana bhi makrooh he k do Do Aadmiyo’n ne utha rakha ho ,ek ne aage se doosre ne pichhe se ,Jese bhari samaan kheencha jata he ,
Haan ,majburi me muzaiqa nahi ,Maslan raasta itna tang ho k char Aadmi sunnat ke mutabiq utha kar na guzar sake ,
📘Aalamgiri ,
Janaza ko uthane ka mustahab Tareeqa ye he k pehle Mayyat ke daahini taraf ka agla paya apne Daahine kande per rakh kar kam se kam 10 qadam chale ,uske baad usi taraf ka pichhla paya apne Daahine kandhe per rakh kar kam se kam 10 qadam chale ,
⇛iske baad Mayyat ke Baayi taraf ka agla paya apne baaye kandhe per rakh kar ,fir pichhla paya apne kandhe per rakh kar kam se kam 10-10 qadam chale ,taki Charo payo ko mila kar 40 qadam ho jaye ,Hadees Sharif me Janaza ko kam se kam 40 qadam tak kandha dene ki badi fazilat he ,
📘Bahishti Gohar, Durre Mukhtar, Shaami ,
📘Ahkaam e Mayyat,
Safa no. 57
📝 Haq ka dayee ansaar ahmad panjab
®TASDEEQ
Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampu
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment