Tuesday, January 24, 2017

E CODE WALI CHEEZEN KHANA

*E CODE WALI CHEEZEN KHANA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.905⭕

jis me haram janwar ki charbi milaai gai ho us ke khane pine kee cheezon me ''E''  ke sath khas code numbers aate hai, jo sms me bhi chalaye jate hai, us ke khane ka kya hukm hai?

us kee tahqeeq ho to ho sake to usey bhi batane ki darkhast

🔵aaj ka jawab🔵
حامدا و مصلیا ومسلما

shareeat ne jin cheezon ko haram qarar diya hai agar un kee haqeeqat aur mahiyyatu-asliyyat (us ka rang khushboo- zaiqah us kee aham siften-gun) kisi kimyawee -chemical dalne se badal jaye to unka pehla hukm (haram makrooh hone ka) baqee nahee rehta.
kisee cheez kee woh khas aur bunyadee  siften-gun jin se us cheez kee pehchan hotee hai. wohee us cheez kee haqeeqat aur mahiyyat-asliyyat hoti hai,

islamic fiqah academy india ke samne fan ke mahireen-(masters) khas jankaree rakhnewale ke zareeye jo tahqeeq samne aayee hai us ke mutabiq (agar woh code geletin ke hai to) geletin me un janwaron kee khalon aur haddiyon kee haqeeqat baqee nahee rehtee hai, jin ke collagen (ek qism ka protin) se geletin banaya jata hai, balke woh ek nayee haqeeqat ke sath nayee-alag cheez ho jatee hai, isliye us ke isteamal kee gunjaish hai.

📓(naye masail aur fiqah academy ke fesle safa 182)
14wa-chavdahwan fiqhee samynar haidarabad 22 jun 2004)

agar code lagi hui cheezon me charbee kee chiknahat bilkul nahee hai to woh cheez halal hai jese baaz cream bagair ki biscuit ke bare me mashhoor hai ke us me khinzir ki charbi dali gai hai aur us par Us ka code bhi hai, lekeen us biscuit me charbi ki zarra barabar chiknahat mavjood nahi to woh biscuit bilkul halal hai,
agar us me charbi dali bhi gai ho to process- ki wajha se Us ka asar bilkul baqi nahi hai.
Az ahqar.

“Agar koi company haraam Khana banane me mashhoor na ho to mahaz kisi makhsoos code ya kisi company ki cheez hone ki wajha se kisi cheez ko shareeat me haraam ya halal qarar nahi diya ja sakta magar ye ke yaqeen ke sath ye baat maloom ho jaye ke us E CODE ke ajzaa e tarkibiyah-ingredients (daali gayi chizen)
me koi cheez haraam hai aur kisi kimyawee-chemical ke tareeqah se us ki haqeeqat aur mahiyat-asliyat ko tabdeel nahi kiya gaya to us cheez se bachna lazim hoga.

Jab ke taqwa ka taqazah ye hai jis cheez ki hurmat wa hillat me shak ho to use istiamal me lane bachna chahiye.

📓(AHAM MASAIL 6/298)

👉�AHQAR KA TAJRABAH👇🏻

bagair cream ke biscuit aur cake me to bilkul shubah-shak na karen.
mene india kee maggi nudals aur maggi sous ka surat me laboratory report karwaya tha, jis par woh  haram kaha jane wala code hai aur nudals ka to video bhi chala tha.
Lekin india ki maagi sous report me kisi bhi enimal kee fate na hona aaya hai.
jis se maloom huwa ye baaten baaz doctor ya deenee jazbaat rakhne wale gair mufti kee chalai hui hai.
jis ka shareeat me aeatibar nahi.
ye report bhi groups par bhejunga insha Allah.

tabdeele mahiyat :

haqeeqat badalne se napak aur haram cheez ke halal hone kee chand misalen jo fiqah kee aksar kitabon me hain.

1. napak charbi se jab sabun ban jata hai to us kee haqeeqat badal gai isliye paak hai.

📗fatawa mahmoodiyah jadeed 18/206 ba hawala shami)

2. gobar aur paakhana jal kar rakh ho jaye to paak hai.

3.  gadha, namak kee khaan-bade khadde me gir kar markar sarkar akheer me namak ban gaya ya insan kee naash qabar me mittee ban gai to woh mittee paak hai us mittee se bhare huwe kapde me namaz jaiz hai.

4. haram janwar kee khaal ko chemical namak wagairah ke zareeye us kee chikanahat khatm kar dee us khaal se bane libas me namaz jaiz hai.

5. sharab namak ya kisee cheez ke dalne se sirakah ban gai us ka nasha hee na raha paak hai pee sakte hai.

📘mustfad az maalabudd minhu safa 21)

و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...