Thursday, January 5, 2017

BIDA'AT KISE KEHTE HAI ?

*BID'AT KISE KEHTE HAI?*

BIDA'AT KISE KEHTE HAI ?

⭕AAJ KA SAWAL NO.891 ⭕

BIDAT KISE KEHTE HAI?
US KI TAREEF-DEFINATION DEWBANDI AUR BARELVI DONO HAZRAAT KE MUTABIQ BATAYE.

🔵JAWAB🔵

HAZRAT MUFTI KIFAYATULAH RAHMATULLAHI ALAYHI (WAFAT 1372 HIJRI) LIKHTE HAIN
BIDAT UN CHEEZON KO KEHTE HAI JIN KI ASAL SHAREEAT SE SABIT NA HO YAANEE QURANE MAJEED, AHADEESE SHAREEFAH SE US KA SUBOOT NA MILE AUR RASOOLULLAH SALALLAHU ALAIHI WASALLAM AUR SAHABAH E KIRAM RADEEYALLAHU ANHUM AUR TABIAYEEN AUR TABIA TABIAYEEN RAHMATULLAHI ALAYHIM KE ZAMANE ME US KA WAJOOD NA HO AUR US KO DEEN KA KAAM SAMJH KAR KIYA JAYE YA CHHODA JAYE.

📘(TA'LEEMUL ISLAM HISSA 4 SAFAA 27)

BARELVI MASH'HOOR ALEEM MOLVI MUHAMMAD SALIH LIKHTE HAI BIDAT US CHEEZ KO KEHTE HAI JO UMOORE DEENIYAH (DEENEE KAAM) SE SAMJHI JAYE MAGAR KISI DALEELE SHAREE SE US KA SUBOOT NA MILTA HO NA KITAB (QURAAN) SE, NA AHAADEESE NABAVIYYAH SE NA IJTIMAAE MUJTAHIDEEN SE (TABIYEEN AUR TABIA TABIAYEEN KO DAUR KE ULAMAA KA ITTIFAQ) NA QIYASE SHAREE SE.

📗TUFATUL AHBAB SAFA 95

(UPAR BARELVI ALIM NE DEENEE KAAM KI QAID LAGAI HAI IS SE MALOOM HUWA KE NAYEE CHEEZEN JO HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE ZAMANE ME NAHI THI JESE CHAY,BIRYANI,BUS,GHADI WAGAIRAH IN SAB KA ISTISMAL BIDAT NAHI KIYUN KE HAM USE DEEN YA SAWAB SAMJH KAR NAHI KARTE)

DUSRE BARELVI ALIM MOLVI ABDUS SAMEEA RAMPUREE LIKHTE HAI
JIN NE NIKALI IS DEEN ME WOH BAAT JO DEEN KI QISM ME SE NAHI HAI YANI KITABULLAH AUR SUNNAT (HADEES) KE MUKHALIF HAI WOH BAAT US KI RAAD (NA QABILE QUBOOL) HAI.

📔ANWARI SAATIAA

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...