🔷BIDAT KI QISMEN
⭕AAJ KA SAWAL NO.892⭕
bidat ki bhi qismen hai?
🔵JAWAB🔵
jee bidat ki do qismen hain
1.BIDATE HASANAH
2.BIDATE SAIYYEH
Hazrat imam shafiee Rahmatullahi alayhi farmate hai ke bidat ki do qisme hai ek woh bidat jo kitab, sunnat, ya ijmaa Ya kisi sahabee ke asar (baat) ke mukhalif ho aesee bidat gumrahi (bidate saiyyeh) hai aur jo un me se kisi ke mukhalif na ho to aesee bidat kabhi achchhi (hasanah) hoti hai jese hazrat umar ka qaul ye (20 rakat taraweeh) kiya achchhi bidat hai (kisi bhi sahabi se sabit nayi cheez lugat-dictionay ke aitibar se bidat hai haqeeqatan bidat nahi)
📙muwafiqatu sareehul ma'aqool.. alaa mihajis sunna 2/128
Dono fareeq ki mani hui kitab (fatawa jamiur riwaayaat wal sunnah safa 60) yani nisabul fiqah me hai ke bidate hasanah woh hai jis ko hazrate mujahideen (jese charon maslak ke ulamaa imam abu haneef rh. imam shafee rh.wagairah) bidate hasanah qarar diya ho agar koi aur shakhs is zamane me kisee cheez ko bidate hasanah qarar dega to woh haq ke khilaf hai kiyun ke hamare zamane me har bidat gumrahee hai.
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment