Tuesday, January 3, 2017

PATANG UDANE KE 24 NUQSAANAAT

*PATANG UDANE KE 24 NUQSAANAAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.889⭕

🎈PATANG UDANE KE 2⃣4⃣ NUQSANAT.

⭕AAJ KA SAWAL NO.889⭕

ISLAMI SHARI'AT ME PATANG UDANA NA JAIZ KYUN HAI?

🔵JAWAB🔵

PATANG UDANE KE BAHUT HEE ZIYADA DUNYAWI AUR UKHRAWI NUQSANAT HAI JIS KI WAJAH SE US KA UDANA NA JAIZ HAI.
PATANG UDANE KE 2⃣4⃣ NUQSANAAT NICHE KE MUTABIK HAI.

1.FUZOOL KHARCHI MAAL AUR SALAHIYYAT KA BARBAD KARNA.

2.PATANG KI TARAF NAZAR HONE KI WAJAH SE NICHE GIR KAR MAR JANE YA ZAKHMI HONE KA KHATRA.

3.RAASTE SE GUZARNEWALE KITNE HEE BE-KASOOR INSAANON KE GALE KATE JISKI WAJAH SE MAR GAYE YA SAKHT ZAKHMI HUWE.

4.ZAKHMI HONEWALE MAZLOOMON KI BAD-DUA LAGNA YA MARNEWALON KI BEWA AUR YATEEMON KI BAD-DUAA AUR HAAY LAGNA.

5.KITNE HI MASOOM PARINDE(BIRDS) IS KI DOREE SE KAT KAR MAR JATE HAI YA SAKHT ZAKHMI HOTE HAI.

6.PATANG AKSAR TARRES AUR CHHAT PAR CHADH KAR UDAYI JAATI HAI JIS KI WAJAH SE AASPAAS KE GHARON KI BEPARDAGI AUR BAD NIGAHI HOTI HAI.

7.SHAREEF BA PARDAH AURTON KO KAPADE SUKHANE ME AUR KHIDKI DARWAZE BANDH RAKHNE ME TAKLEEF HOTI HAI.

8.ROAD PAR PATANG LOOTNEWALON KA ACCIDENT HO JATA HAI.

9.GAADI CHALAANE WALE BHI BAAZ MARTABAH IN KI WAJAH SE GAADI KE SATH GIRKAR ZAKHMI HOTE YA UN KI GAADI KA NUQSAN HOTA HAI.

10.GAADI CHALANEWALON KE DARMIYAN ACHANAK DOOREE AANE KE HAR WAQT DAR KI WAJHA SE AUR IN LOOTNEWALON KI WAJAH SE GAADI CHALANE ME TAKLEEF HOTI HAI.

11.MASJID KI JAMAAT BALKE KHUD NAMAZ SE GAFIL HO JATA HAI.

12.PURA DIN PATANG UDANE ME GUZAR NE KI WAJAH SE BADON KI DUKAN AUR NAUKARI KA HARAJ AUR BACHCHON KE MADRASAH KI PADHAI KA NUQSAAN.

13.HAR EK KI NIYYAT DUSRE KA PATANG KATNE KI HONE KI WAJAH SE NUQSAN PAHONCHANE KA GUNAH.

14.JIS KI PATANG KAT GAI US KE DIL ME ADAWAT AUR KEENA AUR US KA PATANG KAAT KAR BADLA LENE KE JAZBAT KA PAIDA HO JANA.

15.SHORGUL,SITIYAN,AUR DJ, KI WAJHA SE AARAM KARNEWALE BIMAR,BUDHE AUR QAYLOOLLAH KARNEWALE NEK BANDON KI NIND ME KHALEL PAHONCHNA.

16.MUSIC AUR GANA SUNNE AUR SUNNA NA CHAHNEWALON KO SUNANE KA GUNAH HONA.

17.NAMAZ KE WAQT BHI ZOR SE D.J.BAJNE KI WAJAH SE IMAM KI QIRAAT AUR MUSALLIYON KI NAMAZ ME KHALEL WAWIA HONA.

18.KAI DIN TAK DHUP ME  PATANG UDANE KI WAJHA SE JISMANI RANG AUR ANKHON KI ROSHNI PAR ASAR PADNA.

19.GAIRON KI MUSHABAHAT-COPY HONE KI WAJHA SE QAYAMAT ME UN KE SATH HASHR HONA-UN HEE ME SHUMAR HONA.

20.PATANG LOOTNE KA GUNAH.

21. US KI DORI TOD KAR CHURANE KA GUNAH.

22.AISE FUZOOL KAAM JIS ME DUNYA AKHIRAT KA KOI NAFA NAHI QEEMTI WAQT ZAYEA KARNA.

23.GAIRON KE IS TEHWAR KO ACHCHA SAMJHNE AUR IN GUNAHON PAR KHUSH HONE WAJAH SE IMAAN KE BARBAD HONE AUR  KAFIR HON JANE KA KHATRA.

24.MAUT KA KOI WAQT TAY NAHI GAIRON KA TEHWAR AUR IN TAMAM GUNAHON KO KARTE KARTE ACHANAK MAUT AA GAI TO KHATMA BURA HO JANA.

IS MSG KO KHUB FORWAD KARE APNE GHARWALON KO SUNAYE AUR PATANG KI LANAT SE KHUD BACHE AUR APNE BACHCHON KO KHAAS BACHAYE BACHPAN HEE SE IS SE NAFRAT DILAYE.

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...