Friday, January 27, 2017

KFC,MEC DONALDS HOTAL KA KHANA

*KFC,MEC DONALDS HOTAL KA KHANA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.908⭕
Aap kya kehte hai pizza hut kfc mecdonalds hotalo me khane ke mutalliq jo ke pakistan me hai, ye halal hai ya haram ?

🔵jawab🔵

Un hotelo me pakaya jane wala chicken ya dusra gosht agar waqiyatan islami sharaeet ke mutabiq zabiha ka ho, isi tarah mukhtalif chizon me dali jane wali chiz aur Pakane ka tel wagerah me kisi qism ke haram ajza ki aamezish na ki gayi ho, aur ye umoor yaqeeni taur par ya gaaliban gumaan ke darje me sabit ho jaye tab to unke taiyyar kiye gaye khane khaane ki ijazat hai, warna unse ehteraz hi kiya jaye.

Jab ke umoomi taur par bhi ye hotel apne aalami meayaar barqarar rakhne ka ziyada khyal rakhne ke sath sath machini zabiha se bhi ahteraz nahi karte jo na jaiz hai

Isi liye unme taiyyar kiye jane wale khane ka tamam ajza ke halal hone ka yaqeen na ho jaye us waqt tak unke khane khaane se ahteraz hi kiya jaye to ye ziyada behtar hai.
mazi sadar mufti dabhel gujrat hazrat aqdas mufti ahmad khanpuri d.b.ne farmaya ke agar wahan khizir-suwwar ka gosht bhi pakaya jata hai to us ke chammach aur bartan ke istiamal me aehtiyat nahi karte agar gosht halal bhi ho to use napak bartan lag hi jate hai jis se woh khana bhi napak hota hai

Quran surah anaaam ayat 121

Surat nahl ayat 115

Sahih muslim

✏hazarat mufti husain karanchi d.b.

NOT:Gosht ke halal hone me gair muslim idare:compani ke gawahi muatabar nahi chahe un ke letter pad par musalman alim ya idare ke dastakhat:sign ho aur gair muslim ki hotel ka musalman mulazim:nokar kahe ke ye gosht halal hai to bhi us ki gawahi muatabar nahi.

✏mufti farhaan waris sahab

Darul fatawa wal qazaa
Jamia binmoria karanchi
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...