Saturday, January 28, 2017

JANDAR KI TASWEERWALEE CHEEZEN BECHNA

JANDAR KI TASWEERWALEE CHEEZEN BECHNA
जानदार की तस्वीरवाली चीज़ें बेचना

⭕AAJ KA SAWAL NO.909⭕

Jandar ki Tasweerwale kapdon, dibbon-boxes,mobail cover akhbar,kitab ko bechna kaisa hai?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

Jandar ki Tasweerwali mazkoorah e baalaa (upar zikr ki gai) cheezon ko bechna jaiz hai kiyun ke us me tasweer maqsood nahi hoti tasweer taban-zimnan (gair maqsood ) hoti hai asal maqsad us cheez ko khareedna hota hai lihaza us ka bechna jaiz hai.
Agar khareednewale ka maqsad us cheez ki tasweer ho to woh khud gunehgar hai bechnewala nahi.
(ISLAAM AUR JADEED MAASHI MASAIL 4/17,18)

✏ IMRAN ISMAIL MEMON USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

⭕आज का सवाल न.909 ⭕
जानदार की तस्वीर वाले कपड़ो, डिब्बो, बोक्सेस, मोबाइल कवर, अख़बार, किताब को बेचना कैसा है ?

🔵जवाब🔵

जानदार की तस्वीर वाले मज़कूरा ए बाला (ऊपर ज़िक्र किये गए) चीजों को बेचना जाइज़ है, क्यों के उसमे तस्वीर मक़सूद नहीं होती, तस्वीर तबन (ज़िम्मन) गैर मक़सूद होती है, असल मक़सद उस चीज़ को खरीदना होता है, लिहाज़ा उसका बेचना जाइज़ है, अगर खरीदने वाले का मक़सद उस चीज़ की तस्वीर हो तो वो खुद गुनाहगार है, बेचने वाला नहीं.

📚इस्लाम और जदीद मसाइल
४-१७/१८

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...