GAIRON KI KITAB AUR, MAZAMEEN PARHNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.570⭕
Gair muslim ki mazhabi kitab un ki mazhabi article-lekh parhna kesa hai?
🔵JAWAB🔵
Gair muslim ki koi bhi mazhabi kitab parhna jaiz nahi yahan tak ke hazrat moosa alayhis salam par naazil hone wali abhi ki tauraat aur hazrat isaa alayhis salam par naazil hone wali ab ki injeel tak parhne ki ijazat khud nabie kareem salallahu alayhi wasallam ne hazrat umar radee allahu anhu jaisee samjhdaar shakhsiyyat jin ki raay par quraan ki aayaten naazil hui thi nahin dee, balke hadees me aata hai ke jab woh huzoor salallahu alayhi wasallam ki mavjoodgi me taurat parhne lage to huzoor salallahu alayhi wasallam ka chehrah gusse ke mare aisa surkh-laal ho gaya jaisa ke anaar ke daane nichod diye gaye ho aur woh to padhte ja rahe the hazrat abu bakr radee allahu anhu ke tawajjuh dilane ruke aur allah aur us ke rasool ke gusse se panah ki duaa mangi tab jakar huzoor salallahu alayhi wasallam ka gussa thanda huwa.
Huzur salallahu alayhi wasallam ne farmaya agar moosa alayhi salaam khud bhi mavjood hote to un ko bhi meri pairawi ke bagair chaara na tha.
📗(KHULASAH E HADISE MISHKAT)
kyun ke Qur'an ke alawah koi bhi kitab galtiyon se paak nahin tamaam aasmani kitab me tahreef -chenges ho chuka hai.agar taurat me koi badli hui galat baat aa jati to huzur sallallahu alayhi wasalla ke samne hi hazrat umar rd. padh rahe the huzoor salallahu alayhi wasallam bataure ustaaz galaty bataa dete fir bhi huzoor salallahu alayhi wasallam ko ye gawarah nahin hua ke Qur'an jaisi har shobe-fild me mukammal rahnumai karne wali allah ki kitab maujood hai aur uska rasool me khud maujood hun fir dusre mazhab ki kitab ko kiyun dekha!
Aur ummat ko bhi sabaq dena tha ke jab hamare agle nabiyon ki allah ki bheji huyi kitab parhne ki bhi ab ijazat nahin to insano ki likhi hui mahabharat, gita,baibal wagairah gairon ki mazhabi purtiyan-artical padhne ki kaise ijazat ho sakti hai.
hamare pass huzoor salallahu alayhi wasalla ki lakhon ahaadis bhi aajtak mahfooz hai us me dunya aakhirat ki bhalai aur guidance-kaamyabi maujood hai, dusre ki likhi hui mazhabi cheezen jin me ye sifat-fayde nahin use kyun dekhe!
Gair qaum ki mazhabi kitab padhne se imaan kamzor hota hai.imaani aqeedon ke khilaf shaytani waswase paida hote hai yahan tak ke aadmi ke gumrah hone ka bhi khatrah hai lihaza na khud kisi ki mazhabi kitab- artical-lekh padho na apne bachchon ko padhne do.yeh chizen padhna gunah hai.
✏
IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete1. Woh hadith hi daeef hai jisko aap ne base bana kar bekar ka fatwa diya hai.
ReplyDelete2. Aap ke yahan Imaan kam jyada kab se hone laga jab ke aap ke Imam murji the?
"Imaan, ahle asman wa ahle zameen ka na padhta na ghatta hai." [Ayinul hidaya: jild.1, s.21]
"ایمان اہل آسمان واہل زمیں کا نہ بڑھتا ہے نہ گھٹتا ہے-" [مقدمہ عین الھدایۃ:ج.۱، ص.۲۱]
Yeh fatwa ki Imaan kam jyada hota hai aap ke Imam ke qaul ke khilaf hai isliye aap apne akabiron ki lanat ke mustahiq ho gaye.
"فلعنة ربنا اعدا رمل على من رد قول ابى حنيفة"
"ریت کے دانوں کے برابر لعنت ہو اس شخص پر کہ جو ابو حنیفہ کے قول کو رد کرے"
[مقدمہ درالمختار: فضائل امام اعظم: ج.۱، ج.۳۶]