Monday, January 18, 2016

ZIHAAR KA HUKM

ZIHAAR KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.579⭕

KAL ZIHAR KI TAREEF BATAYEE US KA HUKM KYA HAI
BIVI SE KYA DOBARAH NIKAH KARNA PADEGA?

🔵JAWAB🔵

ZIHAAR KARNE (MAA KI TARAH APNE PAR HARAAM KARNE) SE BIVI NIKAH SE TO NAHI NIKLEGI MAGAR BIVI SE SOHBAT KARNA,BOSA LENA,SHAHWAT SE HATH LAGANA YE SAB HARAAM HO JAYEGA JAB TAK KE US KA KAFFARAH ADA NA KARE CHAHE ISEE HALAT ME KITNE HEE SAAL NIKAL JAYE HAN JAB KAFFARAH ADA KAR DEGA TO US KE BAAD DONO MIYA BIVI KI TARAH RAH SAKTE HAI NAYA NIKAH PADHNE KI ZAROORAT NAHI.
US KA KAFFARAH WOHI HAI JO ROZA TODNE KA KAFFARAH HAI.

📗BAHISHTI ZEWAR SAFA 393
✏ IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...