OVER TIME KI TANKHA
⭕AAJ KA SAWAL NO.568⭕
Dukan ke shuru hote waqt Kaam walo ke liye Kaam ka waqt mutayyan kiya gaya magar us per Sakhti se Pabandi nahi hai.
Dukan ka Malik Kam waqt kaam karne per bhi Naukro ko wahi Tankhwah deta hai aur Overtime karne per bhi utni hi Tankhwah deta hai....
To aisi Tankhwah ka kya hukm hai...?
🔵JAWAB🔵
Pure maheene jitna waqt late aate hai utna hee ya us se kam waqt over time kar ke waqt ki kami ko pura kar dete hai to tankhwah ziyada dene ki zaroorat nahi hai aur kami ko pura nahi karta to malik ko late aane ke time ka paise na katne ka ikhtiyar hai.
agar over time ka hisab late time se badh jata hai to over time ki tankhwah deni chahiye.
fir bhi kaam ke waqt time par nahi aaya to jis tarah malik apna mutalabah chhod deta hai isee tarah over time karne ki tankhwah ka mutalaba naukar ko bhi chhod dena chahiye dono apne apne haq ke mulalabah ko dili razamandi se darguzar karna chahiye.
📗MAKHOOZ AZ HUQOOWUL IBAD
✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
🚹join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment