MUSTAHAB
⭕AAJ KA SAWAL NO.571⭕
MUSTAHAB KISE KEHTE HE??AUR KITNE HAI?
🔵JAWAB🔵
Mustahab woh kam he jis ke nabi (ﷺ) ne ya ap ke sahaba RADEEYALLAHU ANHUM ne kiya ho ya usko achha samja ho. lakin usko hamesha na kiya ho, balke kabhi kiya ho kabhi chhod diya ho.isko nafal bhi kehte hai.
uska hukam:- karna par sawab he or na karne me kucch gunah nahi.
📓Makhuz aaz Umdatul fikah-1/90
👉🏻Wuzu ke 18 Mustahabbat:-
1) wuzu karne ke liye kisi unche maqam par bethna take isteml kiya huva pani jism par or kapdo par na pade.
2) wuzu karte vaqt qibla rukh hokar bethna.
3) aek jagah par wuzu karna.
4) wuzu kanne me kisi se maadad na lena.yaani dusre shakhs se a'aza e wuzu na dhulvana.(jab ke koi mazuri ya majboori na ho) balke khud hi dhona. agar koi dusra shakhs pani dalta jave or wuzu ke a'aza khud hi dhoye to koi harj nahi.
5) a'azako dhona jaha tak farz ya vajib he, us se zyadah dhona take un muqarrarah hudud tak dhul jane ka yaqeen ho jaye. jese dono hatho ka adhe bazuo tak or dono pau ka adhi pindali tak dhona.
6) Dahne hath se kulli karna or nak me pani dalna or nak ko baye (ulte) hath se saf karna.
7) dhili anguthi vagerah ko harkat dena take jism tak pani achhi tarah pahonch jaye.
8) shardi ke mosam me a'aza ko dhone se pahele (tel malne ki tarah) un par gila hath ferna. fir pani bahana.
9) monh dhote vaqt upar ki taraf se niche ki taraf pani dalna or hath pero ko dhote vaqt ungaliyo ki taraf se shuru karna. bazo ne sunnat bhi kaha he.(nal ki niche hath dhote vaqt aksar log kohniyo ki taraf se dhote he aesa karna galat he.)
10) kan ka masah karte vaqt chhoti ungli ka kan ke surakh me dalna.
11) per dhote vaqt dahne hath se pani dalna or baye hath se malna.
12) Har uzva dhote vaqt char chize
(1) Bismillah,
(2) kalma e shahadat, (3)Dua,
(4) Durud sharif padhna. in mese kisi ek ka bhi pdh lena kafi he.
13) wuzu ke bad shalvar lungi vagera par (age ke hissa me ) pani chhidakna.
14) wuzu ke bache huve pani ko khade hokar pina.
15) wuzu ke bad qibla rukh hokar kalmah e shahadat padhna
16) Ger mazur ka namaz ke vaqt se pahele wuzu kar lena
17) wuzu ke darmiyan or bad ki dua padhna
18) Agar makruh vaqt na ho to 2 rakat tahyatul wuzu padhna.
📙Nurul izah-35,
📓Wuzu ke masail-58,59
📒Umdatul fiqah-120
✏AMLAHU IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join - +919408443569
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment