Friday, January 29, 2016

🏡BIVI KO ALAG GHAR DENA WAJIB HONE KI SURAT

🏡BIVI KO ALAG GHAR DENA WAJIB HONE KI SURAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.589⭕

Bivi ko sirf room mangne ka hee haq hai ? alag ghar mangne ka haq nahin to hamare ghar saas-bahu, nanad-bhabhi, dirani-jethani ke jhagde hote hai to shareeat me is baare me kiya rahnumai hai?

🔵JAWAB🔵

Bivi ko sirf room dena us surat me hai jab shauhar ziyadah maaldaar na ho balke darmiyani ho aur (bivi ko shohar ke gharwalon se takleef na pahonchti ho) agar maaldaar ho ya darmiyani darje ka to apni haisiyat ke muwafiq bilkul alahidah mustahiq ghar dena waajib hai chahe khareedkar ho ya kiraye se ho ya aariyat- istiamal ke liye maangkar ho.

📗 FATAWA MAHMOODIYA SAFA 447 JILD 13 SE MAKHOOZ

Hakeemul ummat hazrat maulana ashraf ali thanvi rahmatullahi alayhi farmate hai ke ek aam galti me aksar mard mubtalaa hai ke judaganah ghar dena apne zimme wajib nahin samajhte bas apne azeezon-rishtedaron me aurat ko laa dalte hai..aage likhte hai aaj-kal logon ki tabiyaton aur waaqiaat ka taqaza yeh hai ke agar aurat saath me rahne par razi bhi ho aur juda rahne se sab rishtedar nakhush bhi ho tab bhi maslihat yahi hai ke juda -alag hee rakhe usme hazaaron fitne aur buraiyon ka darwaza bandh hota hai aur is me chand roz ke liye rishtedaron ka munh chadhega magar is ki maslihat -fayde jab samne aayenge to sab khush ho jayenge khas taur par chulaha-kitchen to zaroor hee alahidah hona chahiye ziyadahtar aag isee chulhe se bhadakti hai.

📘islahe inqilabe ummat safa 143 ,144 jild 2

Not:maabap bahot burhe ho ya maa bap bimari ki wajha se khidmat ke muhtaj ho aur koi dusra koi khidmat karnewala na ho to fir khidmat ka intizam karna ya sath rehkar maa bap ki khidmat zarooree aur muqaddam hai.

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...