Sunday, January 17, 2016

ZIHAAR

ZIHAAR

⭕AAJ KA SAWAL NO.577⭕

kise ne apni bivi ko maa kaha to kiya hukm hai zihaar to nahi huwa ne? zihaar kise kehte hai jis se nikah par asar padta hai?

🔵JAWAB🔵

🔖Agar kisi ne apni bivi ko kaha ke tu meri maa ke barabar hai ya tu meri maa jaisee hai ya tum to meree maa ho maqsad is se bivi ki buzrugi aur izzat karna ho ya is niyyat se kaha ho ke tu umar me meri maa ke barabar hai to nikah par koi asar nahi pada ya wesee hee bak diya koi niyyat nahi ki to bhi kuchh bhi nahi huwa.

🔖agar is niyyat se kaha ke tu mujh par meri maa ki tarah haraam hai ya is se talaq dene ya chhodne ki niyyat ho to talaqe bain pad jayegi yani ek talaq pad kar nikaah khatm ho jayega.ya us kehne se niyyat ho ke me tujhe talaq to nahi deta magar tu roti kapda le aur yahan padi reh me tujh se sohbat nahi karunga to is se bhi talaqe baain padegi.

📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 392

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...