UTRAAN KE DIN KHANA BECHNA.
⭕AAJ KA SAWAL NO.574⭕
khaas Utraan-patang ke gairon tahawaar ke din masjide aur madrasah ki aamdani ke liye khana bechna aur un paison ko masjid madrasah me istiamal karna kesa hai?
🔵JAWAB🔵
Utraan ke din ka khana becha jayega to is me khareedar har qism ke log honge tehwar mananewale bhi honge aur tehwar na mananewale bhi honge.
rahi baat yeh us khane ko khakar patang udana,gana sunna wagairah gunahon ke kaam karenge to ye un ke apne aamal hai khana bechnewale is ke zimmedar nahi hai isliye us din khana bechne ko na jaiz ya haraam nahi kahenge.
fir bhi usee din khana bechne me un ki us din ki ziyafaton-partiyon (jo khurafat se bhari hoti hai) ki hoslaa afzai hoti hai aur un ki Ronaq me izafa hota hai aur paison ko deenee kaam me istiamal karna hai lihaza us din in logon ko target banakar khana bechna imani hamiyyat aur gairat ke khilaf hai lihaza is se parhez karna behtar hai.
📗FATAWA RAHEEMIYAH 9/195 KARANCHI SE MAKHOOZ
✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA.
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment