Wednesday, January 20, 2016

11GIYARAHVIH KI NIYAZ

11GIYARAHVIH KI NIYAZ

⭕AAJ KA SAWAL NO.580⭕

11/giyarahvi ki niyaaz khane ki haqiqat kya he?
Kya maaldar aadmi giyarahvi ka khana kha sakta he?
aur garibo ka us daawat me shirkat ka kya hukm he?

🔵JAWAB🔵

kisi bhi islami mahine ki giyarahvi (11) Tarikh ko Mahbube subhani shaikh Abdul qadir jeelani rh. ki niyyat se jo khana pakaya jata he use giyarahvi kehte he.

📗Ikhtilaf e ummat or sirate mustaqeem.hazrat mufti yusuf ludhyani shaheed ra.ki kitab

Agar wo khana hazrat shaikh ke naam ki mannat ka ho to woh haraam hai aur unke naam ki mannat manna shirk hai, mannat sirf Allah ke naam ki hee manna jaiz he. Kisi unche se unche buland rutbah makhlooq ke naam ki mannat manna haraam aur shirk hai aur aisi haraam mannat ka khana khana Maaldar or garib kisi ke liye bhi jaiz nahi.

📘(Shami: 2/128,bahr: 2/298)

Agar hazrat shaikh jeelani rh. ke isaale sawab ki garz se allah ta'la ke naam ki mannat maani ho ya mannat maane bager hazrat shaikh ke isale sawab ke khatir pakaa kar khilaye to aisa khana garib log kha sakte he, maaldar nahin kha sakta,kyun ke mannat ka khana Maaldar ke liye jaiz nahin aur gareebon ko khila kar sadqe ka isale sawab kar sakte he,
Albatta isaale sawab ke khane ke liye koi tarikh or din zaruri samajhna ye bidat aur najaiz hai.

📗Shaami: 1 fatawa mahmudiyah: 10 /98

📗Zubdatul fatawa Gujarati: 1/206,207

By fatawa section

✏MUFTI SIRAAJ CHIKHLI NAWSARI GUJRAT
✅join +918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...