NAFQAH-KHARCHA
⭕AAJ KA SAWAL NO.586⭕
bivi ka kon kon sa kharcha shohar ke zimme hai?
Aur kon see surat me kharche ki zimmedari hai aur kon see surat me nahi?
🔵JAWAB🔵
1.bivi ka roti,kapda mard ke zimme hai chahe bivi kitni hee maldaar ho aur rahne ke liye ghar dena bhi shohar ke zimme hai.
2.jitne zamane tak shohar ki ijazat se mayke-apni maa ke ghar rahe utne zamane ka roti kapda bhi shohar se le sakti hai.bagair ijazat ke gai to in kharchon ke pane ki mustahiq nahi hogi.
3.aurat bimar pade chahe shohar ke ghar pade ya apni maa ke ghar us bimari ke zamane ka roti kapda shohar se pane ki mustahiq hai lekeen agar shohar apne ghar bulaya aur nahi gai to is nafarmani ke zamane ka roti kapde ka kharch pane ki mustahiq nahi rahi.
📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 402
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRAH LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment