Sunday, January 3, 2016

Daftari Umoor ( Office Time ) me Dayaanat dari ke sharee Usool kyaa hai?

NOKRI KARNEWALON KE LIYE TIME KE USOOL

⭕AAJ KA SAWAL NO.565⭕

Daftari Umoor ( Office Time ) me Dayaanat dari ke sharee Usool kyaa hai?

🔵JAWAB🔵

is Masle me usool ye he k dukan (Department ) ke qanoon ke lihaaz se Daftar ki haazri (attendance) ka ek waqt muqarrar hota he aur isi ki Mulazim ( Employee ) ko  Tankhwah ( salary ) di jati he ,
isliye muqarrah waqt se gair haaziri jaa’iz nahi, aur gair haazri ke waqt ki Tankhwah bhi halaal nahi,

★ Lekin baaz soorto me Maslan kisi mulazim ko fori taur per ( koi kaam ki vajah se) Jane ki achanak zaroorat pesh aa gayi ,Esi soorat me Afsar (sethh-Officer ) se ijazat lekar Jane ki gunzaish he ,

→ Lekin Waqt se pehle Jane ka ( ya Waqt per nahi aane ka ) mamool bana Lena qanoon ki nazar me Jurm he aur Jo Hazraat waqt se pehle Jane (ya late aane ka ) ka mamool bana lete he’n unke liye gair haazri ke waqt ki Tankhwah halaal nahi hogi,isliye pure maheene ke jitne ghante bante hai us ki tankhah katwaana ya sethh-boss se muaaf karwana zarooree hai sethh-malik ko bhi chahiye jis tarah late aane ki tankhaa katte hai isee tarah  latte jane ki-over time ki bhi tankhah dena zarooree hai

📗Aapke Masail aur Unka Hal Jild – 8, Safa No. 157 se makhooz
✏haq ka dayee ansar ahmad

®TASDEEQ,TASHEEL IZAFA IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...