Thursday, January 28, 2016

Kiya bivi ko khas alag room dena zarooree hai?

BIVI KO ROOM DENA

⭕AAJ KA SAWAL NO.588⭕

Kiya bivi ko khas alag room dena zarooree hai?

🔵JAWAB🔵

Han bivi ko aesa alag kamrah dena shohar ke zimme wajib hai ke  jis me shohar ka koi rishtedar na ho woh apna saaman hifazat se rakh sake jab chahe shohar ke sath bilkul be takalluf-bindast reh sake us kamreh me kisee ka koi dakhal na ho aur us ke tale chabi aurat hee ke qabza me rahe aesa kamrah deya to bivi ka haq ada ho gaya albattah bivi khud hee sab ke sath mushtarak -join femely me rehna gawarah kare to use sath me bhi rakh sakte hai.
bivi pure alag ghar ka mutalabah nahi kar sakti.

📗DARSI BAHISHTEE ZEWAR SAFA  405

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRAH LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...