Saturday, January 23, 2016

SUBOOTE NASAB -HAMAL KI MUDDAT

SUBOOTE NASAB -HAMAL KI MUDDAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.583⭕

Kisi aurat ko bachcha 6 maheene me hee paida ho gaya to kya woh bachcha usee ke shohar ka kehlayega?
kisi ke bachche ke bare yun kehna ke ye is aurat ke shohar ka nahi hai  haraami hai kehna kesa hai?

🔵JAWAB🔵

Sharee aitibar se hamal ki kam se kam muddat 6 maheene hai  zayada se zayada 2 baras yani bachcha kam se kam 6 maheene pet me rehta hai 6 maheene se pehle paida nahi hota hai aur zayada se zayada 2 do sal pet me reh sakta hai is se zayada nahi reh sakta lihaza 6 maheene me aanewale bachche ka nasab us ke bap se sabit hoga

aur ye bhi qaidah hai shoharwali aurat ka bachcha us ke shohar hee ka kehlayega us ko kisi shak ki wajha se haraami kehna tohmat hai jo kabeerah gunah hai aese shakhs ko islami hukoomat ho to kode lagaye jayenge.

📗BAHISHTI ZEWAR SAFA 397 SE MAKHOOZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRAH LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...