*TAUBA KI SHART & SATAR KI HAD FESHION WALI PENT KA HUKM*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1528⭕
Aur kon kon se aamal hai jis ka us ke mavqe par karna farze aen hai aur na karnewala gunehgar hai
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Hasabe zel aamal qudrat ke waqt us ke mavqe par ada karna faze aen aur zaroori hai.Na karnewala sakht gunrhgar hai.
PART. 2
9.Tamam gunahon se tauba karna allah ka haq hai to namaz roza wagairah ki qaza karna aur bandon ke haq Hai yani qarza, hissa wagairah ada karna taklif pahonchai, gibat wagairaki ho to muaaf karana to hi tauba saheeh aur mukammal hogi
10.Satar chhupana mard ko naafse ke lekar ghutno tak jis me naaf satar me dakhil nahi aur ghutne satar me dakhil hai ( *Aaj kal aesi pent bataure feshion pehnte hai jis me ghutne ya raan ka hissa nazar aata hai aese log satar chhupane ke farze aen ko chhodnewale sakht gunhgar hai ye gunah pure din jab tak kapda jism par hoga gunah me hi rahega*)
Aurat ka pura jism chehra aur do hath aur do qadam ke alawa pura jism satar hai chehra namaz aur ghar me khula rakh sakti hai chehra satar me dakhil nahi lekin us ka parda quraan se farz hona sabit hai ghar me join femeli me us ke parde me taklif hoti hai isliye us ka parda muaaf hai
📗UMDATUL FIQA 1/107 AUR SURAH E AHZAF AYAT 59 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* : SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, mdia
*WEB SITE*
Naye msj ke liye www. aajkasawal.in
purane aksar msj ke liye
Twitter:
https://goo.gl/szhij4
Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
Agar joint family me devar ( Husband ka Bhai) ho toh tab kya karen
ReplyDelete