*KHADE KHADE PESHAB KARNE SE KAPDE KA HUKM*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1519⭕
Mene khade khade peshab ki, lekin tissue paper se peshab ki jagah saaf ki,
To kya me na-paak ho gaya?
Mujhe masjid me aana ho ya namaz padhni ho to gusal karna padega?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Khade khade peshab karna koi uzr na ho to manaa hai aur gairon ka tariqah hai, is se bachna chahiye agar khade khade peshab kar li aur peshab ke chhinte sui (niddel) ki nok jitne baarik ude ho woh nazar nahin aate to muaaf hai agar peshab ke katre nazar aate ho aur un taam katron ka ek saath me andaza kiya jaye to hatheli ki gehrai ya'ani cerrum khelne ke bade striker se ziyadah ho to muaaf nahin usme namaz nahin hogi aur masjid me aana bhi jaiz nahi isliye itne katre kapde par ude ho to kapde ka woh hissah ya jism par ude ho to jism ka utna hissah dhona zaruri hai poora kapda dhone ya gusal karne ki zarurat nahin, agar hatheli ki gehrai ke baqadar ya us se kam ho to muaaf hai ya'ani dhona bhul jaye ya dhone ka moqa na ho to namaz nahin chhodni chahiye namaz ho jayegi aisi haalat me madjid me aa sakte hain fir bhi use dho lena behtar hai zaruri nahin.
📗NOORUL IZAH BABUL ISTINJAA SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* :9 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustad e Darul uloom Rampura Surat, Gujarat, India
*WEB SITE*
Naye msj ke liye www. aajkasawal.in
purane aksar msj ke liye
Twitter:
https://goo.gl/szhij4
Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment