*BIVI KE ZIMME SHAUHAR KE HUQOOQ*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1507⭕
Bivi ke zimme shauhar ke kya kya huqooq wa a'adaab hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Bivi ke zimme shauhar ke jo huqooq wa a'adaab hain woh hasbe zail hain.
1⃣.Bivi ka apne shauhar ke hukm ko manna.
2⃣.Shauhar ki khidmat karna.
3⃣.shauhar ke ghar me shauhar ki ijazat Ke bagair kisi ko daakhil na karna.
4⃣.Shaauhar ke maal ko uski ijazat ke bagair kahin bhi isteamal na karna isee tarah israaf na karna.
5⃣.Shauhar ki ijazat ke bagair uski mavjoodgi me nafali rozah na rakhna.
6⃣.Miya bivi ka ek dusre ki Kotahi wa kami se chashmposhi (let go, ignore) karna.
7⃣.Ek dusre ke bure sulook par sabr karna.
8⃣.Qana'at ikhtiyar karna (jo kuchh mil jaye us par santosh, bas karna)
9⃣.Shauhar ki na shukri na karna.
🔟.Shauhar ki guftagu (baat-chit) ke waqt khamosh rehna,
*Baaki kal Insha'Allah*
و الله اعلم بالصواب
📗 SUNABO ADAB SAFA 268.
*NOTE: YE MSJ APNI TAMAM MAHRAM AORTON KO ZAROOR SUNAYE*
SUNANO ADAB SAFA 268
*ISLAMI TAREEKH* : 26,MUHARRAMUL HARAAM 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
*اَلْحَمْدُلِلّهِ. NAYI WEB SITE*
www. aajkasawal.in
Twitter:
https://goo.gl/szhij4
Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment