*FARZ KI TAARIF*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1525⭕
Farz kise kehte hain?
Jo uska inkar kare uska kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Farz us hukm ko kehte hain jo daleele qat'ee aur yaqeeni se saabit ho ya'ani Qur'an ki aisi aayat aur aisi saheeh hadees se saabit ho ke us aayat aur us hadees ke ma'ani aur matlab me dusre ma'ani aur matlab ka ehtimal na ho ya'ani uska mafhoom saaf aur ek ho,
Ya sahaba aur tabieen ke ijma'a (ittifaq, ek raay) hone se sabit ho.
Uska inkaar karne wala kaafir hai aur bagair uzr ke chhodne wala fasiq aur sakht gunehgar hai.
📗JAWAHIRUL FIQAH 1/105
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* :14 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India
*WEB SITE*
Naye msg ke liye
www. aajkasawal.in
Purane aksar msg ke liye
Twitter:
https://goo.gl/szhij4
Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment