Monday, October 22, 2018

NAPAK MUSALLE PAR NAMAZ

*NAPAK MUSALLE PAR NAMAZ*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1522⭕

Mera traveling musalla napak jaghon par namaz padhne Ki waja se niche se napak ho gaya hai abhi dhone ka mavqa nahi hai to kya me us par namaz padh sakta hun?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Agar aap ka woh musalla duble kapde ka hai yani niche ka kapda alag hai jo napak ho chuka hai aur upar ka kapda alag hai jo paak hai to agar dono kapdon ko charon taraf se aur darmiyan se silai maarkar ek kapda kar liya gaya ho us napak musalle par namaz agar napaki mafi ki miqdar se zayada lagi ho to namaz na hogi aur dono kapde ko sirf charon taraf se silai lagai gai hai lekin darmiyan me silai nahi maari gai hai darmiyan se upar ka pura kapda niche ke kapde se uth sakta ho yani darmiyan se join na ho to dono kapde alag alag shumar honge lihaza us musalle par jo niche se napak hai us ke ba wajood namaz ho jayegi.

📗NOORUL IZAAH BAABUS SALAAT

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* :12 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, mdia

*WEB SITE*
Naye msj ke liye www. aajkasawal.in
purane aksar msj ke liye

Twitter:
https://goo.gl/szhij4

Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k

YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...